Contents
Maa Kalaratri Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
Navratri ka satwa din behad vishesh or pawan mana jata h. Is din maa durga ke kalratri swaroop ki puja- archna ki jati h. Kalratri ko maa durga ka satwa roop kha jata h or ye devi roop apne bhakto ke har prakar ke dar ,musibat or dushmano se raksha pradan krta h. Satwe din ki sadhna ko sadhak ke liye aadhyatmik drishti se bhi bahut jaruri mana gya h kyuki ye din navratri sadhna ka uchchatam charan hota h. To aaiye pure detail me jante h ki is din ka kya mahatva h, kaun -si puja apnai jati h or kaun-se niyam or paramparaye nibhai jati h.
Maa kalratri ka swaroop
Maa durga ka satwa roop kalratri bahut bhayankar lekin dayamayi h. Inka rang shyam (kala) hota hor inhe rat ka swaroop mana gya h. Inke sharir me aag ki tarah chamak nikalti h . Inke gale me mala ,bal bikhre hue ,sharir par gahno ka alankaran hota h or tin aankh hote h. Inki sans se aag nikalti h or gadhe par swar rahti h.
Maa kalratri ke char hath hote h – Do hath vardan or abhay mudra me rahte h tha do hatho me lohe ka astra or kante jaisi shaktiya hoti h . Ye devi dushto ka sanhar krti hor bhakto ke sabhi kashto ko dur krti h.
Satwe din ka aadhyatmik mahatwa
1. Aadhyatmik sadhna ka uchch star –
Ye bhakt ko sadhna ke satwe charan tak pahuchata h jise sahstrar chakra (sir bich me sthit) se joda gya h . Is chakra ke jagrat hone se sadhak ko divya gyan ki prapti hoti h.
2. Dar ka nash krne wali shakti –
Kalratri ki upasana se jivan me aane wale dar ,badha ,dushman or nakaratmak shaktiyo ka nash hota h.
3. Shakti or aatmavishwas ki viddhi –
Is din ki puja se sadhak ko sahas or aatmabal milta h.
4. Moksh ki prapti ka rasta –
Maa kalratri ki kripa se bhakt ko moksh ki prapti ka aashirwad milta h.
Satwe din ki puja vidhi
Navratri ke satwe din bhor me nha kar saf kapde pahne jate h or maa kalratri ki sthapna krke niche likhi puja-vidhi sampann ki jati h-
1.Sankalp lena – Puja shuru hone se pahle maa durga ki pratima ya photo ke samne baithkar sankalp liya jata hki aj satwe din ki puja niyampurwak ki jayegi .
2. Aawahan or dhyan – Maa kalratri ka dhyan krte hue unhe aawahit kiya jata h . Dhyan ka mantra prachalit hai :
“Ekveni japakarnpura nagna kharasthita 1 Lamboshthi karnikakarni tailabhyasttrusharirini 2
Vampadollasllohltakantkbhushana 1 Vardhanmurdhdhwaja krishna kalratrirbhayankri 2”
3. Pujan samagri – Lal ya nile phul ,dhup ,diya , gandh ,chandan ,akshat ,kapur ,gud ,pan ,supari, kale til or shahad ka upyog maa ki puja me kiya jata h.
4. Arpan – Mata ko gud or jau arpit krna vishesh phaldyai mana jata h.
5. Mantra -jap –Maa kalratri ko khush krne ke liye unka bij mantra ” om ae him kali chamundayai vichche ” ka jap krna chahiye .
6. Aarti or prathna – Puja ke aakhir me maa kalratri ki arti ki jati hor unke dar ,bimari or sankat dur karne ki prathna ki jati h.
Is din kiye jane wale vishesh kam
- Is din gud or til ka dan krna bahut subh hota h.
- Kisi jaruratmand ya brahman ko kala kapda ,chhata ,jute ya kapde dan dene se jivan ke sabhi kast dur hote h.
- Sham ke samay me dipdan ka vishesh mahatva hota h . Ghar ke mandir or aangan me diya jalane se mahol sakaratmak banta h.
- Sadhak chahe to satwe din ratri jagran krke maa ke bhajan- kirtan kar skte h .
Vrat or niyam
- Satwe din vrat rakhne wale bhakt bhor me nha kar puja krte h or dinbhar phalahar par rahte h.
- Vrati ko is din gussa ,apshabd or jhuth se dur rahna chahiye.
- Rat me vrati maa ka dhyan or kirtan krte hue apna din khatm krna chahiye.
Satwe din se jude dharmik prasang
Shastro me varnit h ki jab asuro ka atyachar badh gya tha ,tab maa durga ne kalratri roop dharan kiya or rakshaso ka nash kiya . Ye roop dushto ke liye bhayankar or bhakto ke liye kripalu mana gya h.
Samaj me satwe din ki paramparaye
- Navratri ke phle din se chhathe din tak maa ke chehre ko dhaka jata h , phir satwe din puja ke bad maa chehre par se kapda hta diya jata h.
- Kai log satmi ke din se hi duga maa ke pandalo me ghune jane lagte h.
- Kai jagaho par satwe din jhakiya or durga pratima ki shobhayatra nikali jati h.
- Bhaktjan is din vishesh roop se maa kalratri ke bhajano or kirtan ka aayojan krte h.
- Gao or kasbo me akhand jyoti jalakar samuhik puja ka aayojan kiya jata h.
Satwe din ki manyataye
- Aisa vishwas h ki jo bhakt is din sachche man se maa kalratri ki puja krte h ,uska jivan se sabhi dar dur ho jate h.
- Vyapar or naukri me aa rhi rukawaate samapt hoti h or sukh-samriddhi ka rasta khulta h.
- Is din mata ki puja krne se shani dosh or anya badhaye bhi dur hoti h.
Navratri ka satwa din maa kalratri ki puja ke liye samarpit hota h . Ye din bhakto ko sahas deta h, nirbhikta deta h or aatmabal bhi pradan krta h. Is din ki sadhna sadhak ko sabhi dar or sankato se mukt krti h . Jo bhi bhakt pure niyam or shraddha se maa ki upasana krta h ,maa unhe wo sab deti h jo us bhakt ki icksha hoti h. Chahe wo safalta ke liye ho ,nukri ke liye ho ,ya phir vyapar ke liiye ho maa sab kuch thk kr deti h or use divya aashirwad deti h or uske jivan me sukh ,samriddhi aati h.