Bhartiya sanskriti or dharm me har tithi ka apna ek vishesh mahatva hota h . Hindu varsh ke enek tyohar shakti or bhakti ke utsav hote h . Unme se ek bahut mahatvapurna tithi hai ashwin sukla paksh ki aashthmi ,jo navratri ke aanthwe din ke roop me manai jati h. Is din ko log maha asthmi ya durga asthmi kehte h. Ye tithi dussehra (vijyadashmi) ke pehle aati h or is din ki or karyakram navratri ke anushthan ka shreshth charan mana jata h.
Dussehra ki ashtami ko jo navratri vrat krte h wo to krte hi h ,leki jo log sirf ashtami ka vrat krte h unke liye bhi ye vrat bahut khaas hota h. Is din puja ke samay ka ek apna fix time hota h or usi samay puja hoti h. Is din 108 diye jalane ka mahtva hota hai or ye diya jalane ka ek nirdharit samay hota h usi samay diya jalaya jata h. Is vrat me jab tak puja naho na hito kuch khate h or nahi kuch pite h ,puja sampann ho jane ke bad vrati pani ,or phal kha skte h. Is vrat ki apni apni ek alag hi mahtva h . Is vrat ko krne ke liye log pandal hi jate h ,or whi puja krte h.
Ashtami ki puja ho jane ke bad sabhi pandali me prasad vitran hone lgta h . Puja khatm hone ke bad se dugra puja ke sabhi pandalo me log ghoomne aane lgte h or anand lete h. Kafi bheed hojati h durga puja pandalo me ashtami kedin se hi log ghumna shuru kar dete h.
Contents
Is article me hum samajhne ki koshish karenge ki dussehra ke astami din kya -kya hota h ,iska itihas ,or purani kathaye kya kahti h,aur aj ke amay me iska samajik or dharmik roop kaisa h.
Dussehra ki astami ka dharmik mahtav
1. Maa durga ki aradhna – Dussehra se pahle aane wali astami tithi maa durga ke mahagauri roop ko samarpit hoti h. Maa mahagauri ko shanti ,karuna or pavitrata ki devi mana gaya h.
2. Mahisasur mardini ka din – Kathao ke anusar is din maa durga ne mahisasur rakshas ke khilaf apna prabal yuddh chedatha jo navratri or dashmi tak chala .
3. Vijay ki shuruwat – Astami ko shakti puja ke roop me dekha jata h jo dashmi ko ravan ke vadh or vijyadashmi ke roop me khatm hoti h.
4. Shakti or bhakti ka milan –Is din ki gyi puja ko isliye mahatvapurna mana jata h kyuki ye shraddha shakti or samarpan ka anokha sangam h.
Purani khathyen or dussehra ki astami
- Devi durga or mahisasur ki katha
- Mahisasur nam kaek bahut takatwar rakshas thajise vardan mila tha ki use na ko dev ,na daanav or na koi purush mar sake.
- Uski atyacharya se devta or insan sabhi dukhi ho gye .
- Tab devtao ki shaktiyo se ek adbhut roop maa durga ka janm hua .
- Astami ke din maa ne mahisasur ke khilaf yudh kiya jo navmi ordashmi tak chala .
- Ant me dashami ke din maa ne mahisasur ka vadh kiya or shanti sthapit ki .
2. Ramayan se sambandh
- Ramcharitmanas ke anusar ,shri ram ne lanka yuddh ke dauran astami tithi ko maa durga ki aradhna ki thi.
- Shri ramne 108 neel kamal chadhaye the lekin ek kamal kam tha ,tab unhone apni ek aankh (jo kamal ki tarah thi ) chadhane ka sankalp liya .
- Maadurgaprakat hui or unki bhakti se prasann hokar unhe vijay ka ashirwad diya .
- Isi bhakti or shakti ka parinam dahmi ko ravan vadh ke roop me hua .
Dussehra ki astami par kya-kya hota h
1. Vrat or upwas
- Is dinkai bhakt vrat rakhte hain.
- Kahi log nirjala vrat rakhte hain to kahi phalhar ya satvik bhojan krte h.
- Vrat todnese pehle pooja or kanja bhoj kiya jata h.
2. Maa mahagauri ki pooja
- Astami ke din maa mahagauri ko dhoop ,diya ,phul or naivedya arpit kiya jata hai.
- Shankh ,ghanti or aarti ke dwara maa ko prasann kiya jata hai.
- Durga saptashi or devi kavach ka paath bhi kiya jata hai.
3. Kanya pujan (kanjak pooja )
- Is din 9 kanyao ko maa ka roop maan kar pooja ki jati h.
- Unke pair dhulakar ,tilak lgakar unhe poori ,halwa oe kale chane khilaye jate hain.
- Unhe dupatta ,chudi ,phool or dakshins bhi di jati hai.
- Sath hi ek chhote ladke ko langur ke roop me puja me shamil kiya jata hai.
4. Hawan or yajna
- Mandiro or gharo mehavan hota h.
- Devi mantro ke sath ahuti di jati hai.
- Yajna ke baad prasad sabhi bhakto ko baanta jata hai.
5. Jagrata or bhajan -kirtan
- Raat ko bhajan or kirtan ka ayojan hota hai.
- Jagraton me log purirat maa ke geet ga karunki mahima gaate hai.
Dussehre ki astami ke prasad or vyanjan
1.Poori- gehum ke aate se bani puriya .
2. Kala chana – maa durga ko arpit karne ke liye kala chana .
3. Sooji ka halwa- ghee or sooji se bana paramparik halwa .
4.Phal or mishri – vrat todne ke liye.
5.Nariyalor paan- samarpan ke prateek ke roop me.
Samajik or sanskritik mahtav
1.Nari shakti ka samman- Kanya pujan se ye sandesh milta h ki nari shakti ka prateek hai.
2.Samajik ekta- Sab milkar havan,puja or bhojan krte hai jisse ekta or samrasta ka bhav badhta hai.
3. Shakti or vijay ka sandesh- Ashtami se dashmi tak ka ye parv batata h ki dharma or satya ki hamesha jeet hoti hai.
Aadhunik yug me dussehra ki ashtami
- Aaj ke samay me bade shehron me log ashtami ko bade utsah se manate h.
- Durga pandalo me bhavya vigrah sthapit kiye jate hai.
- Bhajan, kirtan or cultural programs hote hai.
- Social media or online platforms par bhi ashtami ki subhkamnaye di jati hai.
Dussehra ki ashtami ke fayde
- Maa durga ki kripa se jivan ke sabhi dukh door hote hai.
- Santan sukh or aishwarya ki prapti hoti hai.
- Rognashak or shatru-nashak shakti milti hai.
- Man ko shanti or aatma ko pavitrata milti hai.
Dussehre ki ashtami ek aisa pavitra avsar hai jahan bhakti ,shakti aur samajik samrasta ka anokha sangam hota hai. Is din maa durga ke ashtam roop ki aradhna krke bhakt apne jivan se dukh-door karke shakti ,samriddhi aur sukh ki prapti krte hain. Kanya pujan or hawan jaise anushthano se samaj me nari shakti ka samman badhta hai. Is tarah se dussehra na kewal dharmik roop se ,balki samajik aur aadhyatmik drishti se bhi bahut mahatvapurna hai.
-
Din: Ashtami (8th day of Navratri)
-
Is din maa Mahagauri ki pooja hoti hai — woh Shaktiputra Devi ka 8th roop hai.
-
Mahagauri ka arth hai “Mahā Gauṛī” — bahut shuchi, pavitra aur shital.
-
Is din ko “Kanya Pujan” bhi aksar kiya jaata hai, jahan 9 kanya (ladkiyon) ka pooja aur seva ki jaati hai.
🙏 Maa Mahagauri — Mahatva (Significance)
-
Maa Mahagauri ki shakti shuddhi, shanti, pavitrata ka pratik hai.
-
Bhagwan Shiv ke pasandida roop ke roop me Maa ne tapasya ki, aur shubh roop se prakashit hui.
-
Unka ashirwad karmon ke paap dho deta hai, man ko shaant karta hai, ichhaon ko poora karta hai.
🪔 Puja Vidhi of Maa Mahagauri (Step-by-Step)
1️⃣ Subah jaldi uthna + snan — pavitr sharir aur man ke liye
2️⃣ Vastra chunna — shudh rang (pink / white / off-white) pehna jaata hai, kyunki Mahagauri ka roop shwet aur shant hai.
3️⃣ Altar Setup — Maa Mahagauri ki murti ya chitra ko saaf altar par sthapit karein, phool, mala se sajaayein.
4️⃣ Arpan / Bhog — doodh, kheer, halwa, fruits, coconut, sweets arpan karein.
5️⃣ Mantra Jaap / Stuti — “ॐ देवी महागौर्यै नमः” mantra jaap karein.
Ek Dhyana Mantra bhi hota hai:
“श्वेते वृषे समारूढा श्वेताम्बरधरा शुभा…”
6️⃣ Aarti & Prarthana — diya jalayein, aarti karein, Maa se apni icchayein aur shakti ki prarthana karein.
7️⃣ Kanya Pujan — 9 kanya (ladkiyon) ko roti, kapda, uphaar, bhojan etc. se pooja karna.
8️⃣ Prasad Vitaran — Bhog ko prasad bana kar sabke beech baant dein.
❓ FAQs (Kuch Sawaal – Jawab)
Q1. Kaunsa rang pehenna chahiye?
👉 Pink / White / Off-white — jo pavitrata ka darshan karata hai.
Q2. Maa ko kya chadhayein?
👉 Doodh, kheer, halwa, fruits, coconut, sweets etc.
Q3. Mantra kya ho sakta hai?
👉 “ॐ देवी महागौर्यै नमः” — ye mukhya mantra hai.
Q4. Kya upvas karna chahiye?
👉 Haan, agar health allow kare toh satvik upvas (fast) kar sakte hain — lekin shraddha & bhakti sabse mahatvapurn hai.
