Bhartiya sanskriti or dharm grantho me mein har tithi aur parv ka apna vishesh mahtva hota hai. Ashwin mahine me aae wala navratri na kewal maa durga ki aradhna ka samay hai balki dharm or adharm se sangharsh ka pratik bhi hai. Navratri ke nau dino me maa durga ke nau swaroopo ki puja ki jati hai. Isme navami tithi ,mahanavami bhi kha jata hai ,sabse adhik shaktishali or mahtvapurna din mana jata hai.
Dussehra ke ek din pahle aane wali navami ko log durga navami ke roop me log manate hai. Ye tithi us vijsy ka prateek hai jisme maa durga ne mahisasur jaise asur ke khilaf apna aakhiri yuddh kiya . Isi ke sath ,shri ram ke ravan- vadh ke pehle bhinavami ki aradhna ka varnan ramayan mein milta hai.
Navami ko mukhya roop se puja ke bad din me kanya pujan krke rat me sabhi log ghumne jate h navami ka din mukhya roopo se ghumne ke liye hi hota hai , sabhi shraddhalu apne parivar ke sath ghumne jate h apne sabhi aspas ke jagaho me pandal me ghumne jate hai . Or sabhi bhakto ko prasad milta h . Navami ke din bahut jyada bheed ho jati h , dur log subah me hi ghum lete hai oe sthaniya log rat me gumte hai or har jagah par prashashan bhi hote hai bheed ko kabu krne ke liye .
Contents
1. Maa Siddhidatri ki pooja
- Navratri ke navve din maa durga ke siddhidatri roop ki aradhna ki jati hai.
- Maa siddhidatri ke pass 8 prakar ki siddhiya (anima ,mahima ,garima ,laghima ,prapti ,prakmya ,ishitvaaur vashsitva ) hoti hain.
- Unki pooja krne se bhakto ko samriddhi ,buddhi aur shakti milti hain.
2. Mahisasur ke virudddh antim yudh
- Purani kathao ke anusar , navami ke din maa durga ne mahisasur ke sath apna anti yudh kiya .
- Is din maa ka roop bahut krodhit tha or unhone asuro ka sanhaar krke dharm ki raksha ki .
3. Ramayan se juda mahatva
- Shri ram ne lanka yudh ke dauran navami ke din bhi maa durga ki aradhna ki thi .
- Unki tapasya or pooja se maa prasann hui aur unhe vijay ka aashirwad diya .
- Dashami ko shri ram ne ,ravan ka vadh kiya ,isliye navami vijyadashmi ka rasta banati hai.
Pauranik kathayen
1.Mahisasur mardini ki katha
Mahisasur ek asur tha jise na dev, na manushya maar sakta tha .Usne devlok par kabja kar liya aur atyachar krna shuru kiya .Tab sabhidevtaoki shakti se maa durga ka avtaar hua .Navami ke din maa durga ne apna sabse prabal roop dikhaya aur mahisasur ke senapatiyon ko samapt kar diya . Dashami ko uska vadh hua or dharma ki vijay hui .
2.Ramayan ki katha
Ramcharitmanas me likha hai ki shri ram ne lanka yudh se pehle navami ko akhand bhakti ke sath maa durga ki puja ki .Maa ke ashirwad se hi unhone dashami ko ravan par vijay prapt ki . Is tarah navami aur dussehra ek dusre se juda hua parv hai.
1. Vrat aur upwas
- Navami ke din bhakto ne pure navami ka vrat rakhkar is dinka samapan krte hain.
- Log satvik bhojan ya phalhar lete hain.
- Kahi bhakt is din nirkala vrat bhi rakhte hain.
2. Maa siddhidatri ki puja
- Maa siddhidatri ke mandir me ya ghar me puja sthal par kalash sthapna krke puja hoti hai.
- Dhoop ,diya ,phul ,roli ,chawal ,prasad aur naivedya arpit kiya jata hai.
- Durga saptashati ka paath aur devi stuti ki jati hai.
3. Kanya pujan (kanjak puja)
- Ashtami ki tarah navami ko bhi kanya pujan ki parampara hai.
- 9 Kanyaon ko bulakar unke pair dhulvaye jate hai, tilak lagaya jata hai aur unhe bhojan karwaya jata hai.
- Paramparik bhojan hota hai poori ,kala chana aur soji ka halwa .
- Unhe chhoti gift ,kapde ,chunri aur dakshina bhi di jati hai.
4. Havan aur anushthan
- Gharon aur mandiro me hawan ka ayojan hota hai.
- Ved manto aur devi mantro ke sath agni me ahuti di jati hai.
- Hawan ke samapan par prasad sabhi ko baata jata hai.
5. Shastra puja aur vijay sankalp
- Kai jagaho par navami ko shastra puja ki jati hai.
- Talwar ,dhanush , gadha or anya shastra ko pooja krke unhe dharma ki raksha ke liye upyog krne ka sankalp liya jata hai.
- Yeh parampara ramayan se judi hui hai jahan shee ram ne apne astra -shastra ki pooja ki thi .
6. Ramleela aur samajik karyakram
- Is din ramlila ka natak apne charam bindu par hote hai.
- Ram aur ravan ke yudh drishya pradarshit kiye jate hai.
- Gaon aur sharon me log utsav ke roop me yatra aur mela karte hain.
1.Poori – Maa ko chadakar kanyaon ko khilai jati hai .
2. Kala chana –Dhairy aaur shakti ka pratik .
3. Halwa- Madhurta aur sukh ka pratik .
4. Phal aur mishri – Vrat todne ke liye .
5. Nariyal aur paan – Samarpan ke pratik ke roop mein.
Samajik aur sanskritik mahatva
- Nari shakti ka samman – Kanya pujan se samaj me ye sandesh jata h ki nari hi shakti ka pratik hai.
- Dharma aur adharma ka sangharsh- Navami ke din hme yad dilata hai ki dharm aur stya ki hamesha jeet hoti hai .
- Ekta or samrasta – Is din log samuhuk puja or bhojan krte hai jisse ekta ka bhav banta hai .
- Sanskar aur parampara – Bachchon ko is din ki puja me shamil karke unhe dharm aur sanskriti se joda jata hai.
- Shehron mein bade durga pandals lagaye jate hai.
- Cultural programs ,bhajan m, krtan aur hawan ka ayojan hota hai .
- Ramlila sabse badaaarakshan hoti hai .
- Social media or tvpar bhi navami aur dussehra ke karyakram live dikhaye jate hai.
- Maa siddhidatri ki puja se buddhi ,shakti aur samriddhi prapt hoti hai .
- Kanya pujan se ghar me sukh -samriddhi aati hai .
- Havan aur puja se man aur atma suddh hote hain.
- Shastra pooja se vijay aur suraksha ka ashirwaad milta hai .
Dussehra ki navami ,jise maha navami bhi kaha jata hai ,na kewal navratri ka antim din h balki vijyadashmi ka aadhar bhi hai . Is din maa siddhidatri ki aradhna , kanya pujan ,havan or shastra pujan ke madhyam se bhakt apne jivan me shakti ,shanti aur vijay ki prapti krte hain.
Pauranik kayhaye hame yaad dilati hai ki chahe mahisasur ho ya ravan , dharma or satya ke samne asatya kabhi tik nahi sakta . Navami ka sandesh hai ki shakti aur bhakti se hi jivan ki kathinaiyon ko par karke vijay prapt kiya ja skta hai .Isi karan se navami ko dussehra ka hriday aur vijya dashmi ka margdarshak kaha jata hai.
-
Is din pooja ki jaati hai Maa Siddhidatri ki — Navdurga ka 9th (antim) roop.
-
Maa Siddhidatri “Siddhi Daatri” hai, jo deviyon/devtaon ko siddhis (adhyatmik shaktiyaan) deti hain.
🙏 Maa Siddhidatri — Mahatva (Significance)
-
Maa Siddhidatri ka roop bahut shant, gyaanmay aur divine hota hai.
-
Yeh deviyon/devtaon, hatta ki Shiv ji ko bhi pooja gayi thi — taki unhe adhiyātma gyaan aur shaktis mil sake.
-
Is din kriya-karm, chhote se bada har prayas siddh ho sakta hai agar shraddha ho.
🪔 Puja Vidhi of Maa Siddhidatri (Step-by-Step)
1️⃣ Subah Jaldi Uthna & Snan
– Pavitra drishti se shudh snan karein, man-saaf rehna chahiye.
2️⃣ Vastra (Kapda) Pehna
– Light violet / purple ya laal / gulabi shades pehna ja sakta hai, jo divinity aur shakti ka pratik ho.
3️⃣ Altar Setup
– Maa Siddhidatri ki murti ya chitra saaf altar par rakhna, mala aur phoolon se alankrit karna.
4️⃣ Bhog / Arpan
– Coconut, fruits, sweets, incense, diya arpan karein.
– Til (sesame) ke mishran, halwa, phal – kuch jagah ye bhi prasad me chadhaya jaata hai.
5️⃣ Mantra Jaap / Stuti / Upaasan
– Main mantra: “ॐ देवी सिद्धिदात्र्यै नमः”
– Dhyana Mantra / Stuti path bhi karein:
“सिद्धगन्धर्वयक्षाद्यैर … सेव्यमाना सदा भूयात् सिद्धिदा सिद्धिदायिनी”
6️⃣ Aarti & Prarthana
– Diya jalayein, aarti karein, Maa se apni shaksha aur shubh icchayein maangein.
7️⃣ Kanya Pujan
– Navami din several regions me Kanya Puja ki jaati hai — 9 kanya (ladkiyon) ko uphaar, bhojan aur samman diya jaata hai.
8️⃣ Prasad Vitaran
– Bhog ko prasad banaakar sab me baant dein.
❓ FAQs ( Kuch Sawal – Jawab )
Q1. Kaunsa rang pehna jaaye?
👉 Light violet / purple, ya koi shudh rang.
Q2. Maa ko kya chadhaye?
👉 Coconut, phal, sweets, halwa, til mishran etc.
Q3. Mantra kya ho sakta hai?
👉 “ॐ देवी सिद्धिदात्र्यै नमः” aur uske stuti mantras.
Q4. Kya upvas karna chahiye?
👉 Agar sharirik roop se sambhav ho – haan; par shraddha & bhakti sabse mahatvapurn hai.