Contents
- 1 Navratri
- 1.1 Navratri 2025 day-wise table with dates, weekday, colors, goddesses, and significance :
- 1.2 Navratri ke Nau Din Or Unka Mahatva
- 1.3 1. Pahla din – Shailputri mata
- 1.4 2. Dusra din -Brahmcharini mata
- 1.5 3. Tisra din – Chandraghanta mata
- 1.6 4.Chautha Din -Kushmanda mata
- 1.7 5. Panchwa din -skandmata
- 1.8 6. chhattha din -Katyayni mata
- 1.9 7. Satwa din -Kalratri mata
- 1.10 8. Aathwa din – Mahagauri mata
- 1.11 9. Nauwa din -Siddhidatri mata
- 1.12 Happy Navratri
- 1.13 ❓1. Navratri kya hai?
- 1.14 ❓2. Navratri kab hoti hai?
- 1.15 ❓3. Har din alag Devi kaun hoti hai?
- 1.16 ❓4. Navratri mein kya-kya karte hain?
- 1.17 ❓5. Navratri ke vrat mein kya kha sakte hain?
- 1.18 ❓6. Navratri ke 9 colors kya hote hain?
- 1.19 ❓7. Garba aur Dandiya ka kya mahatva hai?
- 1.20 ❓8. Kya non-Hindus bhi Navratri mana sakte hain?
- 1.21 ❓9. Navratri spiritual level par kya sikhata hai?
- 1.22 ❓10. India ke alag-alag regions mein kaise manaya jaata hai?
Bharat tyoharo ka desh h . Yha har ek parv sirf dharmik puja path tak simit nhi hota, balki samajik , sanskritik , aadhyatmik dristi se bhi gahri buniyad rakhta h. Inhi me se ek pramukh parv h Navratri . Ye parv sal me do bar aata h -chaitra navratri (marsh -april) or shardiya navratri- (september -october) . Navratri ka arth h nau rate . In nau dino me devi durga ke nau roopo ki puja ki jati h. Shailputri mata , Brahmcharini mata , Chandraghanta mata ,Kushmanda mata , Skandmata , Katyayani mata , kalratri mata , Mahagauri mata , Siddhidatri mata . Navratri ki shurawat kalash sthapna se hoti h . Bhakt pure nau din tak is vat ko rakhte h. Bhajan kirtan krte h or bhagwan ki aradhna me lin rahte h. Navratri ke har din maa devi ke alag -alag rupo ki puja ki jati h. Asthami or navmi ko kanya pujan ka visesh mahatva hota h . Navratri me nau din ka upwas krke bhakt chhoto chhoti kanyayo ko apne ghar bulakar , unhe devi mata ka swaroop mankar unhe khana khilate h . Unke pair dhote h unke pairo ko alta se sajate h or khana khilar unse ashirwad lete h or unhe bhet me kuch bhi jaise paise kuch saman or kuch kuch unke istemal aane wali cheeje bhi dete h or unse aashirwad lete h. Sanskritik drishti se bhi navratri ka bahut bada mahatva h. navratri ke samay garba or dandiya jaise nritya bharat ke kai rajyo me bahot hi utsah se kiya jata h. Sabhi log navatri ke samay apne ghar ke mandiro me or maa durga ke pandlao me jakr diya jalate h. Mandiro or gharo me sabhi log sajawat krte eh. Or hawan ka aayojan bhi hota h.
Day | Date | Weekday | Goddess Worshipped | Color of the Day | Significance (Hinglish) |
---|---|---|---|---|---|
1 | 22 Sept | Monday | Maa Shailputri | White | Shanti aur nayi shuruat ka prateek. Ghar aur mann ko shudh karta hai. |
2 | 23 Sept | Tuesday | Maa Brahmacharini | Red | Prem, bhakti aur tapasya ka prateek. Mann ko strong aur dharmik banata hai. |
3 | 24 Sept | Wednesday | Maa Chandraghanta | Royal Blue | Veerta aur shaanti ka prateek. Darr aur negative energy door karta hai. |
4 | 25 Sept | Thursday | Maa Kushmanda | Yellow | Khushi aur samriddhi ka prateek. Ghar mein positivity aur energy badhata hai. |
5 | 26 Sept | Friday | Maa Skandamata | Green | Harmony, fertility aur growth ka prateek. Parivarik sukh aur samriddhi deta hai. |
6 | 27 Sept | Saturday | Maa Katyayani | Grey | Shakti aur courage ka prateek. Buri nazar aur problems se bachata hai. |
7 | 28 Sept | Sunday | Maa Kalaratri | Orange | Protection aur darkness door karne ka prateek. Dar aur negativity se mukti deta hai. |
8 | 29 Sept | Monday | Maa Mahagauri | Peacock Green | Shuddhata aur shaanti ka prateek. Mann aur shareer dono ko positive energy deta hai. |
9 | 30 Sept | Tuesday | Maa Siddhidatri | Pink | Gyaan aur enlightenment ka prateek. Safalta aur spiritual growth laata hai. |
1. Pahla din – Shailputri mata
Navratri ke pahle din maa shailputri ki puja hoti h.Ve parvatraj himalyay ki beti h.Ye swaroop hme dhairya or sankaip ka sandesh dete h.
- Jivan darshan : kathinaiyo ke sath bhi dridh rahna or jivan ko sahas ke sath jina .
- Dharmik parampara : is din kalashsthapna hoti h , jise subhta or nayi urja ka shuruwat mana jata h.
🌼 Navratri Ka Pehla Din (Ekam) 2025: Puja Vidhi, Muhurat & Significance 🌼
2. Dusra din -Brahmcharini mata
Ye swaroop tapasya or sanyam ka pratik h.
- Jivan darshan : aatmniyantran , sayam , or sadhna se hi safalta prapt hoti h.
- Parampara : bhakat is din upwas rakhte hor dhyan bhakti me samay bitate h.
🌼 Navratri Ka Dusra Din (Dwitiya) 2025: 🙏 Maa Brahmacharini Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
3. Tisra din – Chandraghanta mata
Inka swaroop saumya or virta dono ka mishran h.
- Jivan darshan : Jivan me santulan banana shanti bhi or jarurat padne par prakram bhi .
- Parampara : Mana jata h ki inki aradhna se dar dur hota h or jivan me shanti milti h.
🌼 Navratri Ka Tisra Din (Tritiya) 2025: 🙏 Maa Chandraghanta Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
4.Chautha Din -Kushmanda mata
Inhe puri duniya ka janani mana jata h.
- Jivsn darshan : sakaratamakta or rachnatmakta hi jivan ki asli shakti h.
- Parampara : Mana jata h ki inki kripa se aarogya , samriddhi or dirghayu prapti hoti h.
🌼 Navratri Ka Chautha Din (Chaturthi) 2025: 🙏 Maa Kushmanda Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
5. Panchwa din -skandmata
Ye bhagwan kartikey ki mata h.
- Jivan darshan : Matritva ka mahatva , tyag or prem.
- Parampara : parivar ki raksha or santano ki unnati ke liye inki puja ki jati h.
🌼 Navratri Ka Panchva Din (Panchami) 2025: 🙏 Maa Skandamata Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
6. chhattha din -Katyayni mata
Inka swaroop himmat or shakti kapratik h.
- Jivan darshan : Anyay or adharma ke viruddh khadha hona or uske liye ladna .
- Parampara : vivaah yogya kanyay inki visesh puja krti h.
🌼 Navratri Ka Chhatha Din (Shashthi) 2025: 🙏 Maa Katyayani Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
7. Satwa din -Kalratri mata
Ye sabse prabaal swaroop mani jati h.
- Jiwan darshan : Andhakar ke bad hi ujala aata h. Dar ko jitne se hi jivan me pragati hoti h .
- Parampara : Is din sadhak visesh tantrik sadhnaye bhi krte h.
🌼 Navratri Ka Saatva Din (Saptami) 2025: 🙏 Maa Kalaratri Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
8. Aathwa din – Mahagauri mata
Ye saundarya , shanti or pavitrata ka pratik h.
- Jivan darshan : Jivan me nirmalta or sadgi ka hona jaruri h.
- Parampara : kanya pujan (kumari pujan ) ka viesh mahatva h .
🌼 Navratri Ka Aathva Din (Ashtami) 2025: 🙏 Maa Mahagauri Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
9. Nauwa din -Siddhidatri mata
Ye nau roopo ki paripurnata mani jati h.
- Jivan darshan : Adhyatma orbhakti se hi kamyabi or safalta prapt hoti h.
- Parampara : Bhakt is din hawan or kanya pujan krte h.
🌼 Navratri Ka Navva Din (Navami) 2025: 🙏 Maa Siddhidatri Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
Navratri ka sanskritik mahatv
Navratri ke samay garba , dandiya ,bhajan or kirtan se samaj me ekta or meljol badhta h .Mandiro or pandalo me sundar sajawat , murtikala or loknritya dekhne ko milte h. Ye parv stree shakti or unke mahatav ki yad dilata h .
Navratri ka upwas sharir ko suddh krta h or atmabal badhata h. Bhakt apne man ko sanyamit rakhte h or nakaratmak vicharo se dur rahte h. jivan me shakti or santulanbanaye rakhne ke liye yah puja bahut jaruri mani jati h.
Navratri hme hme apne jivan me in nau guno ko apnane ka sandeh deti h : dhairya , sanyam ,santulan ,rachnatmak ,matritva or prem , sahas , andhakar par jeet , shuddhata , siddhi or safalta . I n guni ko apna kar hm har tarah se safal ho skte h. Navratri kewal devi puja ka parv nhi h ,balki ye hmare jivan ko sahi disha dene wala maha parva h. Nau devi , nau din nau sikshaye -ye hme har paristhiti me utsahit bne rahne me , or kathinaiyo ka samna krne me or dharma ke raste par chalne ki prerna dete h .Navrateika utsav hme ye sikhata h ki shakti or bhakti ka santulan hi jivan ko sarthak banata h.
Navratri ek Hindu festival hai jo 9 din tak chalta hai, aur yeh Devi Durga ke 9 roopon ki puja ke liye manaaya jaata hai. Yeh achchai ki burai par jeet ka prateek hai.
Saal mein 4 Navratri hoti hain, lekin 2 main Navratri hoti hain:
-
Chaitra Navratri (March–April)
-
Sharad/Navratri (September–October)
👉 2025 mein Sharad Navratri: 22 Sept se 2 Oct tak (dates jagah ke hisaab se thodi badal sakti hain)
❓3. Har din alag Devi kaun hoti hai?
Haan, har din ek alag Devi ka roop puja jaata hai:
Din | Devi ka Roop |
---|---|
1 | Maa Shailputri |
2 | Maa Brahmacharini |
3 | Maa Chandraghanta |
4 | Maa Kushmanda |
5 | Maa Skandamata |
6 | Maa Katyayani |
7 | Maa Kalaratri |
8 | Maa Mahagauri |
9 | Maa Siddhidatri |
-
Daily Devi ki puja aur aarti
-
Vrat (fasting) rakhna
-
Garba & Dandiya khelte hain
-
Har din alag color ke kapde pehne jaate hain
-
8th ya 9th din Kanya pujan hota hai
Allowed food items:
-
Fruits, sabudana, aloo, kuttu/singhare ka atta
-
Sendha namak use hota hai (normal namak nahi)
-
Onion-garlic, chawal, wheat avoid karte hain
Har saal ke weekdays ke hisaab se colors change hote hain.
👗 Agar chahiye toh main aapko 2025 ke Navratri colors bhi bata sakta hoon.
❓7. Garba aur Dandiya ka kya mahatva hai?
Garba Devi Durga ki aarti aur stuti ka roop hai.
Dandiya ek symbolic battle hai jo Devi ne Mahishasur se lada tha.
Bilkul! Garba aur Navratri sabke liye open hai. Bahut log culture, dance, aur devotion ke liye celebrate karte hain.
Yeh festival humein batata hai ki:
-
Andar ki shakti (inner power) ko jagao
-
Burai par achchai ki jeet hoti hai
-
Naari Shakti ka samman karo
❓10. India ke alag-alag regions mein kaise manaya jaata hai?
-
Gujarat: Garba nights, full-on dance
-
West Bengal: Durga Puja, huge pandals
-
South India: Golu (doll display)
-
Punjab: Jagrate aur Kanya pujan
-
Maharashtra: Group puja, fasting