Amazing Reasons Dussehra Kyu Manate Hai 2025 | Dussehra Ki Kahani & Mahatva

Ham Dussehra Kyu Manate Hai

Bharat tyoharo or parvo ka desh hai .Yha par har mausam me ,har awsar par tyohare h . Yha pe tyohar se judi koi n koi manyata judi hoti h . Har parv ke pichhe koi n koi kahani /katha jarur hi hoti h. Hamare desh me har parv ko badi hi shraddha , viswas or sachhe man se log dhumdham se manate h . Inhi tyoharo me se ek tyohar Dussehra hai , jise Vijyadashmi ke nam se bhi jana jata h. Ye parv dharm or astha ka pratik nahi h . Balki ye tyohar hme  samajik ,sanskritik or natik mulya ka sikh deti h.  Dussehra burai par achchhai ki jeet h , jhuth par sach ki jeet h or adharma par dharma ki neev ka parv h.

Amazing Reasons Dussehra Kyu Manate Hai 2025 | Dussehra Ki Kahani & Mahatva

Dussehra Ka Matlab

Dussehra shabd do shabdo se milkar bna h – dash or hara . Iska matlab h das buraiyo ka nash. Manyata ke anusar ,ye tyohar ravan ke das siro wale ahankar or dustta ke ant ka pratik h. Is parv ko vijyadshmi isliye kaha jata h kyuki ye din vijay prapti ka din h- chahe wo bhagwan shree ram ka ho ya maa durga ka.

Dussehra Manane Ka Dharmik karan

 1.Ramayan se sambandhit katha

Treta yug me ravan ne mata sita ka apharan kar ke apni lanka me le gya tha . Unhe vapas lane ke liye bhagwan shree ram ne      ravan se ladai ki. Or ye ladaikafi dino tak chala rha ,akhir  me ashin mahine ke sukla paskh ke din shree ram ne ravan ko mar diya or mata sita ko vapas lekar aa gye . Isi vijay diwas ko loh dussehra ya vijyadashmi ke roop memanate h. ye din se hme ye sikh milti h ki chahe burai kitni bhi badi or shaktishali kyu na ho ,ant me jeet hamesha sach or dharma ki hi hoti h.

2.Maa Durga or Mahisasur ki katha 

Is tyohar ki ek or manyata ke anusar ,ye din maa durga ka vijay ka bhi pratik h. Asuro ka raja mahisasur ne apni takat or shakti se tino loko or insano par bahut actyachar krne lga tha .Uske atyachro se devta bhi pareshan ho gye .Tab bhagwan brahma,vishnu or mahesh ne milkar maaa durga ko rakat kiya .Maa durga ne nau rato tak mahisasur se ladai kiya or daswe din usko mar diya .Isliye ise vijyadashmi bhi kha jata h.Ye parv stree shakti jeet or uski samman ka bhi pratik h.

Aetihasik Or Sanskritik Mahatva

1. Pandavo ki katha 

Mahabharatkal me pandavo ko 12 sal ka vanvas or 1 sal ka agyatwas mila tha . Agyatwas ki samapti par unhone apne shastra shami ke ped me chhupa diye the . Dashmi ke din pandawo ne apne shastra nikale or ladai me jeet gye .Tabhi se dussehra ko shastra- pujan or vijay ka parv mana jata h.

2. Shakti puja or navratra

Dussehra se phle ke nau din ko navratri kahte h. In nau dino me log mata durga ki puja , unke nam ka vrat or unke bhakti mehote h. Or dasmi ko in nau dino kr vrat ya upwas ka samapan ho jata h. Isliye dussehra shakti puja kabhi pratik mana jata h.

Dussegra Manane Ka Samajik Mahatva

1.Burai ki Achchhai Par Jeet

Ravan ke putle ko jalakar hme ye sandesh milta h ki hme apne andar chhupi buraiyo -jaise gussa ,lalach, ghamand , nafrat  or jalan ki bhawanao ko katm kar dena chahiye .

2.Samaj Me Ekta 

Ramleela or dussehra ke tyohar me sabhi jati or sabhi dharmo ke log milkar bhag lete h. Isse samaj me dusre dharm or dusre jati ke logo se bhaichara or ekta badhti h.

3.Sanskritik Or Parampara Ki Suraksha 

Ramleela hamari purani sanskriti ko dikhati h , ramleela ,jhakiya or durga puja ke aayojan se hamari puri sari sanskritiya jivit rahti h. Or hamari nayi pidhi ko hamare tyohar ke itihas or dharmik pramparao ki jankari milti h.

Dussehra Manane ke tarike

  • Bharat ke kai rajyo me dusehra manane ke tarike alag -alag h.
  • Uttar bharat me ramleela ka aayojan hota h or ravan,meghnad ,kumbhkaran ke putle ko jalaya jata h.
  • Paschim bangal or purvotarrajyo me maa durga ki bahut hi badi or shandar murtiya banai jati h. Or vijyadashmi ya dussehra ke din murtiyo ko pani me visharjit kar diya jata h.
  • Maharastra or gujarat me is din shastra puja or aprajita devi ki puja krne ka mahatva h
  • Karnatak or mysore me dussehra puri rajsi shan  se manaya jata h . Wha bhavya shobhayatra nikali jati h .

Read More about Dussehra History 

Dussehra Se Milne Wali Sandesh

  1. Satya or dharm ki jeet hoti h.
  2. Burai chahe kitni bhi badi ho ,uska khatm hona tay h.
  3. Nari shakti ka samman or puja krna chahiye.
  4. Ahankar manushya ko nash ki or le jata h.
  5. Tyohar samaj me prem ,ekta or bhai chare ki bhawna jagate h.

Aj ke samay me bhi dussehra utna hi mahatwapurna hjitna  phle tha .

                                                                           Happy Dussehra 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Home Navratri Dussehra Wishes Shop
Scroll to Top