Ravan Dahan 2025 | Dussehra ki Kahani, Significance & Celebration

Ravan Dahan, Bharat ek aisa desh h . Jha tyoharo or paramparao ki ek lamba kram dekhne ko milta h. Yha ka har tyohar ek alag manyata ke aadhar par manaya jata h . Or harr tyohar apne sath koi n koi sikha jarur lekar aati h ,or apnr sath dharmik, sanskritik or samajik mahatva lekar aati h. Inhi pramukh tyoharo me se wk h Dussehta or Vijyadashmi ,jiski sabse badi or pramukh parampara h Ravan dahan . Ye parampara sirf dharmik mahatva nhi rakhti balki ,ye tyohar burai par achchai ka jeet ka pratik bhi h.

Ravan dahan ki purani katha 

Ramayan ke anusar ,ravan lanka ka raja tha . Wah bahut takatwar ,vidwan or shiv bhakt tha . Or wah bhagwan  ki bahut tapasya bhi krta tha ,lekin usme  bahut jyada ghamandi , atyachar or adharm ki swabhav tha . Usne mata sita ka apharan kiya or unhe apni lanka me kaid kar liya tha .Bhagwan ram ne or unke bhai lakshman ke sath ,bhakt hanuman or vanar senaa ke madad se ravan ka vadh kar diya or mata sita ko uski kaid se mukt karaya . Bhagwan ram ki jeet ka din hi dussehra kahlaya or ravan ki mrityu ki yad me hi har sal ravan dahan kiya jata h.

Ravan dahan ki parampara

Dussehre ke din pure bharat me alag -alag jagaho par ravan ,meghnad or kumbhkaran ke bade bade putle taiyar kiye jate h. In putlo me patakhe , aatishbaji or rangeen kapde lagaye jate h. Jab sham ka samay hota h, to ramlela ke manchan ke bad , jo bhagwan ram ki bhumika nibhane wale insan se hi tir chalakar ravan ke putlr ka dahan kiya jata h. Or isi ke sath hi ravan dahan dekhne aaye hue logo ki bheed Jay shree ram ke nare lagati h. Or aatishbaji se sara vatavaran roshan ho jata h.

Samajik or sanskritik mahatva

Ravan dahan kewal ek dharmik anushthan nhi h, balki ye samaj ko sandesh deta h ki chahe burai kitni bhi shaktishali kyu na ho , ant me uskas vinash nischit h. Yeh tyohar bhaichare ko bhi badhawa deta h. Gaon or sharo me log milkar mele ka aayojan krte h, jha jhule , dukane or alag -alag tarah ki sanskritik parastutiya hoti h. Bachche ,bade or budhe sabhi log is aajoyan me badhchadh kr bhag lete h.

Ravan dahan ka nya  swaroop

Badhte samay ke sath ravan dahan ki parampara me kafi badlav  aaye h. Phle ke samay ke mukable ab putlo ko or bhi bda or aakarshak roop se banaya jane lga  h. Aatishbaji or lighiting se ise or bhi jyada bda bna diya gya h. Patakhe or aatishbaji ke wajah se paryavaran ko bahut jyada nuksan hota h or vayu dhuve ke wajah bahut jyada parudushit ho jati h jo ki hmare swasthaya  ke liye bilkul bhi acha nhi h isliye kuch jagaho me ise paryavaran hitaushi  banane ki kosis ki  jati h. Taki patakho se hone wala pradushan kam ho sake or paryavaran surakshit rah sake . Sirf ravan ko burai ka pratik mankar hi log use yad nhi krte balki ,balki kai jagaho par ravan ko sirf burai ka pratik na mankar log use ek mahan vidvan or shivbhakt ke roop me bhi yad  kiya jata h.

Ravan dahan se hme ye siksha or sandesh milti h ki , agar insaan ke andar ghamand or buraii  ghar kar jaye ,to  us insaan ka sarvnash to tay h .Ye tyohar hme dharma ,satya or nyay ke ke marg par chalne ki prernadeta h. Bhagwan ke aadharsho ko apna kar ham apne jivan ko arthpurn bna skte h. Ravan dahan kewal parampara nahi h, balki nyaya or dharma ki jeet ka pratik h. ye hma yad dilata h ki jivan me achchai satya or sadachar ki hi jeet hoti h, jabki ahankar or adharma ka hamesha hi sarvanash hota h ye tay h. Isliye har sal ravan dahan bade hi khushi or utsah or umang ke sath manaya jata h . Or hmari aane wali pidhiyo ko bhi yhi sandesh diya jata h ,ki hme hamesha sach or dharm ke sath rahna chahiye or nahi kabhi bhi kisi bhi chij ka ahankar nhi krna chahiye ,hme hamesha dharma  ke raste pe chalna chahiye .

HAPPY RAVAN DAHAN 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Home Navratri Dussehra Wishes Shop
Scroll to Top