Contents
Dussehra History
Dussehra (vijyadasmi) ka itihas bahot purana h or iski kathaye hajaro sal purani h.
📖Dussehra History Ke Anusar :
- Dussehra parv ke suruwat Treta yug se mana jata h ,jab bhagwan Ram ne Ravan ko mara or burai par achchai ki jeet hui . Ye ghatna lagbhag 7,000 sal pahle hui thi .
- Dusri manyata yah bhi h ki ,Mahisasur nam ke ek rakshas se maa durga ne nau din lagatar ladai krne ke bad Vijyadasmi ke din usko mar dala .
- Ek manyata ye bhi h ki iska sambandh Mahabharat kal se h .Pandavo ne apna Agyatwas pura hone ke bad shastro ki puja vijyadasmi kr din ki thi . Mahabharat ki ghatnaye lagbhag 5,000 sal phle ki h.
- Purano or aetihasic grantho ke anusar dussehre ka parv kam se kam Dapar or Treta yug se chla aa rha h,iska itihas harajo sal purana h.
Ramayan Katha Se Juda Itihas:-
- Dussehra ka itihas sidha Ramayan se juda hua h ,Ramayan me Ayodhya ke raja Dasrath ke char bete the .Ram ,Laxman ,Bharat ,Shatrughan . Bhagwan Ram sabse bade bete or sach ,dharm or adarsh ke pratik the .Rani kaikei ne raja dasrath se apna vardan mang kar shri ram ko 14 sal ke liye vanvas dila diya ,tab ram sita or laxman jangal me rahne chle gye.Vanvas ke sabse bahut sari ghatnaye hui ,lekin sabse ahem ghatna thi mata sita ka haran .Lanka ke rakshas Ravan ne dhokha se mata sita ko utha kar le gya or apne mahal ke ashok watika me le jakr unhe wha kaid kar liya .Ravan bahut prakrami or takatwar tha lekin atyachari or ahankari bhi tha .Sita maa ko dhundhte dhundhte unhe hanuman or sugriv mile .Vanarraj sugriv or unki sena ram ke sath mil gyi or samundra par setu bna kr bhagwan ram or unki sena lanka pauhchi .Uske bad lanka me ladai shuru ho gyi ,ye ladai kafi dino tak chali .Ravanki taraf se meghnand ,kumbhkaran jaise kai maham or balshali yodha lade ,or whi Ram ki or se laxman ,hanuman , angad ,or anya vanar viro neapni shaktiya dikhaya. Akhir me ladai ka faisle wala din aaya or phir ram or ravan ke bich bhayankar ladai hoti rhi ye ladai ka sangram kafi dino tak chla .Ravan ne apne sare mayavi astra -shastra seladta rha ,lekin dharma or sachchai ke raste pe chalne wale shree ram ko koi hra nhi paya .Ashwin mahine ki sukla paksh ki dasmi ke din ram ne ravan ko mar diya or dharm or satya ki vijay hui .Isi din ko vijyadashmi kha jane lga .Ram ne ravan ko mar kar ye siddha kiya ki burai chahe kitni bhi takatwar kyu na ho jeet hamesha dharm or sach ki hi hoti h.
- Ramayan ki ye katha dussehra parv ki aadhar h .Jis tarah se bhagwan ram ne ravan jaise atyachari ka ant kiya ,usi tarah ye tyohar hme prerna deta h ki ham bhi apne jivan me sach , dharm or achchai ke raste pr chle or burai ka tyag kre.
Mahishasur Or Maa Durga Se Juda Itihas
- Purani katha ke anusar Mahisa Sur ek takatwar Asur tha .Wo mahish (bhais) ke saman takatwar tha or apne atyacharo se bhagwano or insan samaj dono ko bahot kast deta tha. Kathor tapasya krke usne Brahma ji se amar hone ka vardan manga . Brahma ji ne use amar hone ka vardan nhi diya lekin ,yah vardan diya ki uski maut sirf ek stree ke hatho hi ho skti h. Mahisasur striyo ko bahut hi tuchchh manta tha or unhe bahut hi durbal samajhta tha .Brahma ji se vardan milte hi Mahisasur ne tino loko me sabko paresan krna or utoat machana shuru kar diya tha .Usne swarg se bhagwan ko nikal kr Indraan par khud baith kr adhikar kr liya .Bhagwan charo or se har kar Brahma ,Vishnu ,OR Mahesh ke pas pahauche .Tridevo ne apni shaktiya mila kr Devi Durga ko prakat kiya .Maa Durga ne divya tej se yukt hokar bhagwano ke astra -shastra liye or Mahisasur se ladai krne ke liye taiyar hui .Maa Durga or Mahisasur ka ladai nau dino or nau tato ko lagatar chlta rha .Maa Durga ne sher ki sawari krte hue asuro ka sanghar\nash kiya .Mahisasur bar bar apna roop badalta tha – kabhi bhaisa ,kabhi sher, to kabhi hathi ka .Lekin devi ne apne besmisal shakti se use hra diya or akhir me daswe din Mahisasur ko hra diya .Is vijay ko vijyadashmi ke roop me manaya jata h .Bangal or bharat ke kai anya pranto me bade hi khushi or utsah se manaya jata h .Navratri ke nau din tak log Maa durga ke liye vrat rakhte h or daswe din Mahisasur mardini ke roop me Maa ki jayjay kar krte hue vijyadashmi manai jati h.
- Ye katha hme yah sikhati h ki ,chahe burai kitni bhi takatwar kyu na ho akhir me jeet sach or dharma ki hi hoti h .Mahisasur ki maut stree shakti ki mahanta or takat ko dikhati h . Jis stree shakti ko kamjor samjha gya ,whi shakti asuro ka nash or dharma ki raksha krne wali sjabit hui .
- Dussehra manav samaj ko yah siksha deti h ki ahankar or Atyachar ka ant tay h or shakti chahe stree ki ho ya purush ki ,jab dharm or nyay ki raksha ke liye prayog hoti h ,tabhi uska sachcha mahatva hota h.
Mahabharat Ke Katha Se Juda Itihas
- Mahabharat ki katha ke anusar ,juwe ke khel me har jane ke bad Pandawo ko 12 sal ka vanvas or 1 sal ka agyatvas bhogna pda tha .Agyatwas ka matlab tha ki – Aisi jagah rahna jha unki asli pahchan kisi ko malum na ho ,ya apni pahchan chupa kr rahna . Agar agyatwas ke samay unki pahchan pta chal jati to unhe dobara se 12 sal ka vanvas bhogna padta .Is mushki shart ko pura krne ke liye pandavo ne raja Virat ke rajya me chhup kr rahne ko apnaya . Agyatwas ke samay pandavo ne alag alag roop merahte the . Dharmaraj Yudhishthir ne Kank nam ke brahman bankar raja virat ko juwa khelne ki kala sikhai. Bheem ne Balwant nam ke rasoiye ka roop dharna kiya .Or Arjun shapvansh napunsak bane hue Brihnalla ke roop me rajkumari Uttara ko nachna or gana sikhaya .Nakul ne ghodo ki dekhbal ka kam kiya or Sahdev ne gayo ki raksha ki .Draupadi ne Sairandhri bankar maharani Sudeshna ki dasi ka roop liya .Samay bitta gya or agyatwas katam hone lga .Or tik usi samay Kauravo ne raja Virat ke rajya par hamla kar diya .Us ladai me Arjun ne apne chhupaye hue Gandiv dhanush or divja shasta nikal kar virta dikhai .Kaha jata h jis din Arjun ne gandiv phir se dharan kiya or dushano se jita ,usi din ashwin shukla dashmi , Ya Dussehra tha .
- Yah manyata hme ye sikhati h ki pareshani or sankat chahe kitne bhi bade kyu na ho , sabra , himmat or buddhi ke bal se uska hal nikala ja sakta h .Pandavo ki agyatvas ki katha hme ye sikhati h ki samay par sabra krna or sahi samay par takat ka prayog krna hi vijay ka rasta h.