Bharat tyoharo or paramparao ki bhumi h. yha pe manaya jane wala har tyohar , samajik , dharmik ,or sanskritik ekta ka prateek hota h.dussehra ya vijyadashmi ka parv inhi me se ek h , jo burai par acchhai ki jeet ka pratik h. Dussehre ke samay har jagah -jagah par ramleela ka aayojan kiya jata h. Ramleela sirf dharmik katha ka aayojan nhi h ,balki ye hamari bhartiye sanskriti or aadharsho ki jivit roop h. Is aayojan ke safal hone ka ek bda aadhar h –Ramleela ke manch ki sajawat . Sundar bda manch ramleela dekhne aane walo ko kafi aakarshit karti h or unhe ramkatha ki pavitrata ka ehsaas dilati h.
Ramleela ke manch sajane ka mahatva
Ramleela me manch ko sajane ka kafi mahatva h kyuki –
- Manch ke wajah se hi puri katha me jan aati h .
- Manch ki sajawat se dekhne walo ko ramleela sachchi lagti h.
- Ye dharmik mahol ko banati h.
- Ramleela ke patro ka abhinay ko safal banane me manch ki sajawat sahayak hoti h.
- Stage ki sajawat se darshako lagta h ki we ramayan kal me pahuch gye h.
Contents
- 1 1. Ramleela ke manch sajawat ke mukhya hissa
- 2 2. Vatawaran
- 3 3. Gahne or sajawat se saman
- 4 4. Light ki Intejam
- 5 5. Aawaj or sangeet
- 6 6. Patro ka aana or manch ka batwara
- 7 Manch ko sajane ke liye jaruri saman
- 8 Gaon or sahar ke sajawat me antar
- 9 Ramleela manch sajawat ka dharmik or sanskritik mahatva
1. Ramleela ke manch sajawat ke mukhya hissa
- Manch hamesha khule or bade maidan me banaya jata h taki wha pe jyada se jyada log aa ske .
- Lakdi ,lohe or bas se ek majboot dhacha banaya jata h.
- Manch ko uncha banaya jata h taki dur baithe darshak bhi aaram se dekh sake .
2. Vatawaran
- Pardo or kapdo se ayodhya ,janakpur , jangal , lanka aadi ke jagaho se jaise vatavaran ko banaya jata h.
- Rang -birange chitro , postero digital backdrop ka bhi use kiya jata h.
- Ajkal led screen bhi kajwat me use ki jati h jisse najara bilkul joshila lagta h .
3. Gahne or sajawat se saman
- Nakli ped paudhe , phool ,pattiya ,jhalar ,toran or diya manch par sajaye jate h .
- Sone -chandi jaise kagaji sajawat se rajmahal or darbar ka roop diya jata h.
- Jhumar or bijli ki lighte manch ko kafi sundar banati h.
4. Light ki Intejam
- Rangeen lighto ka istemal najare ke badalne ke anusar se kiya jat h.
- Bhagwan shree ram ke aane par lal light , Ravan ke prakat hone par nili or hari light ,or ladai ke samay tej light ka use kiya jata h.
5. Aawaj or sangeet
- Mic , speaker or baja manch bahut hi mahatvapurn hissa h .
- Dhol ,nagada , shankh ,manjira jase baje kafi prabhaw dalte h.
- Sangeet or aawaj ki sajawat ko prabhawi banate h.
6. Patro ka aana or manch ka batwara
- Manch ko kai hisso me bata jata h jaise -rajmahal , jangal or ladai wala jagah .
- ramleela ke sabhi patro ke entry ke liye alag -alag jagah banaye jate h.
- Dhuye nikalne wali machine or aatishbaji se entry ko bahut hi khaas banaya jata h .
Manch ko sajane ke liye jaruri saman
- Manch ko sajane ke liye rangeen kapde , parde or poster ki jarurat hoti h.
- Nakli or prakritik phool ,paudhe or kafi anya chije .
- Jhalar or toran .
- Bijli ki lighte or jhalar bulb .
- Tharmacol or cardboard se bane mahal ,mandir or phool .
- Aj se samay ke ramleela ke liye -digital projection or led screen .
- Dhol ,nagade or baje
Gaon or sahar ke sajawat me antar
- Gaon ke ilako me mach ki sajawat ekdum sadharan hoti h .wha sthaniya samagri jaise bansh ,lakdi , mitti or kapde ka use hota h.
- Sahar ke ilako me manch ki sajawat ekdum naye tarike se ki jati h . Yha mehnege parde ,led lights ,fancy lights or speakers ka use kiya jata h.
Ramleela manch sajawat ka dharmik or sanskritik mahatva
- Ye kewal sundarta ke liye nhi sajai jati h ,balki shraddha or bhakti ka pratik hoti h .
- Manch ki sajawat se manch pe ho rhe ramkhatha ka sandesh wha baithe har insaan tak pahuchta h.
- ye bharat ki prachin kala , sthapatya or sanskriti ki jhalak bhi darshati h.
Ramleela me manch ki sjawat ka kafi yogdan h .Ramleela manch ki sajawat dussehre parv ko bda or aakarshak banane ka mukhya aadhar h. Ye darshako ko aadhayatmik anubhav deti h , Or unhe sach ,dharm or aadarsho ki taraf prerit karti h. Manch ki sajawat sirf sundarta ke liye nhi kijati h. balki ye bhartuya sanskriti ki gahrai or pavrata ka pratik h. Is tarah , ramleela manch sajawat dussehre ke parv ko safal or yadgar banane me bahut aham bhumika nibhati h.