Regional Celebrations of Dussehra in India | Mysore, Kullu, Varanasi & More

Regional Celebrations jise vijyadashmi ke nam se bhi jana  jata h . Ye tyohar bharat ke har hindu ke liye ek bahut hi mahatwapurna tyohar h. Dussehra bharat ke alag alag rajyo me alag alag tarike se manaya jata h.Yah parv burai par achchai ki jeet h. Iska dharmik mahatva itna gahra h ki is tyohar ko bharat ke charo disao ,uttar se dakshin or purva se pashchim tak pure bharat me bade hi harsh or khushi se manate h.

Dussehra manane ka sambandh mukhya roop se do  dharmik manyatao se h –

1.Bhagwan Ram ne Rawan  ko mara tha  tab se (Ramayan katha se )

2.Maa durga ne mahisasur ko mara tha tab se (devi mahatmya katha se)

Inhi manyatao ke aadhar par ,bharat me purab se lekar pashchim tk or uttar se lekar dakshin tak alag -alag jagah par alag -alag riti riwajo or alag- alag paramparao ke hisab se dussehra manai jati h.bharat ke har rajya me dussehra manane ka tarika alag hota h. Bharat me sabhi rajyo me sabhi log bahut khushi or utsah se manate h. to aaiye jante h bharat ke alag -alag rajyo me kaise dussehra manai jati h or unke riti riwajo ke bare me bhi jante h.

  • 1.Himachal Prdesh (kullu Dussehra)

Himachal pradesh me dussehra pure desh se bilkul alag or anokhe tarike se manaya jata h.khaskar yha ,kullu ka dussehra puri duniya  me  prasiddh h.

1. Kullu Dassehra(Antrarastriya atar pure duniya me prasidha h)

  • Kullu ghati me yah  tyohar  vijyadasmi ke din se suru hokar pure sat din tak chalta h
  • Jab pure bharat me dussehra ke din Rawan dahan hota h,to kullu me ravan dahan nhi hota h.
  • Raghunath ji ki rath yatra yha ka mukhya aakarshan h .
  • saikado devi- devtao ki palikaye nikalijati h,sbhi apne gaowo se dhol nagade ke sath palikae nikalte h,or kullu ki dhalpur maidan me sab ek jagah milti h.
  • Hajaro bhakt milkar bhagwan shree ram ki shobhayatra nikalte h.
  • Mele me loknritya, lok geet ,hath se banai cheeze or sanskritik karykram hote h.
  • Ise antarashtriya dussehra utsav kaha jata h ,kyuki isme videso se bhi log yha badi sankhya se aate h.

2.Maisur Dussehra (Karnatak-maisur)

  • Maisur ka dussehra shahi parampara se juda hua h, wha shahi tarike se dusehra manai jati .
  • Yha devi Chamundeshwari ki mukhya roop se puja ki jati h.
  • Maisur palace ko harajao balbo ki raushniyo se sjaya jata h.
  • Hathiyo par sawar hokar nikalne wali rajsi julush (jambu sawri ) yha ka mukhya aakrshan h.
  • Loknritya , sangeet , or pradarshani ise or bada or shandar banate h.

3.Ramnagar Ki Ramleela (Uttar Pradesh -Varanasi)

  • Varanasi ke pass ramnagar ki ramleela sabse prasiddh h.
  • Yha ek mahine tak puri ramleela chalti h ,jisme puri ramayan ki katha ka manchan hota h.
  • Dashmi ke din ravan dahan ke sath yha ka dusehra katm hota h.
  • Yha hone wali ramleela ko roj harajaro log ananad lete h.

4.Delhi ka Dussehra

  • Delhi me dussehra bahut bade paimane par manaya jata h.
  • Ramleela maidan or red fort ground me bahut badi ramleelae hoti h.
  • Ravan , Meghnad , or Kumbhkaran ke 50-60 foot unche putle banaye jate h.
  • Dashmi ki rat inhe jalaya jata h or aatishbaji ka bahut bavya or sundar drishya dekhne ko milta h.

4.Kolkata Ki durga puja or visarjan (Pashchim Bangal)

1.Durga puja ka samapan

  • Pashchim bangal me pure char din tak maa durga ki puja hoti h- saptami , ashtami , navmi ,or dashmi.
  • Dussehre ke din maa durga ki murti ko vidai di jati h.
  • Is din ko mana jata h kimaa durga apne mayke (prithvi lok ) se wapas kailash parvat apne pati bhagwan shiv ke pass chli jati h.

       2.Sindoor khola

  • Ye kolkata ki dussehra ki sabse khaas parampara h.
  • Vivahit mahilaye maa durga ki murti ko  sindoor chadhati h.
  • Iske bad ko ek dusre ko bhi sindoor lagati h or mithai khilati h.
  • Ye parampara saubhagya or vaivahik sukh ka pratik mani jati h.

     3.Durga Visarjan 

  • Vijyadashmi ki sham ko maa durga  ki bhavya murtiyo ki band -baje ,dhol , or nritya ke sath julus nikal kar ganga  nadi ya jlashyao me baha diya jata h.
  • Pura sahar bijoya !bijoya!(jeet ki subhkamnaye )ke naro se gunj uthta h.
  • log ek dusre se milkar shubho bijoya kahte h.

     4.Sanskritik Rang 

  • kolkata ka parv kewal dharmik parv nahi h ,balki yah sanskritik mahotsav bhi h.
  • Sahar ke har kone me pandal sajaye jate h, jha devi durga ki bhavya or kalatmak murtiyo ki sthapna ki jati h.
  • Pandalo me log lakho ki sankhya me aate h or pandal hauping krte h.
  • Dholak ki dhun or aag or dhup ke sath nritya ,sanskritik karyakram or lokkala is parv ka aham hissa h.

      5.Ravan dahan ka antar

  • Uttar bharat ki tarah yha ravan dahan bahut bade star par nhi hota h.
  • Kolkata or pure bangal me dussehra mukhya roop se durga puja or visarjna par hi kendrit hota h.
  • Halaki ,kuch uttar bhartiya samudae jaise bihar , u.p ,wake log jo kolkata me base h. apne apne elako me ravan dahan bhi krte h.

6.Gujrat me dussehra or navratri

  • Gujrat me dussehra se phle nau din garba or dandiya ka aayojan hota h.
  • Dashmi ke din log apne aujar ,gadiya  or kitabe puja ke liye rakhte h.
  • Ise aayudh puja bhi kahte  h.
  • Yha ravan dahan bhi hota h lekin muskya aakarshan navratri ke nritya ke utsav se hi hota h.

7.Madhya Pradesh (Ujjain ,Gwaliyar , Jabalpur )

  • Ujjain me  mahakaleshwar mandir me visesh puja hoti h.
  • Gwaliar or jabalpur  me bade star par ramleela or ravan dahan ka aayojan kiya jata h.
  • Gramin skhetro me mela ka aayojan bhi dussehra ka musya hissa h.

8.Bihar (Patna , Gya , Darbhanga ,Mithila Kshetra

  • Patna or Gya me vishal ramleela maidano me bhavya aayojan hota h.
  • Darbhanga ka dussehra bhi aetihasik roop se prasiddh h.
  • Mithila kshetra me devi durga ki puja visesh matava rakhti h.
  • Dashmi ke din ravan dahan ke sath maa durga ki murti ka visarjan bhi hota h.

9.Jharkhand (Ranchi ,Jamshedpur ,Dhanbad )

  • Ranchi ke morabadi maidan me vishal ravan dahan hota h.
  • Jamshedpur or dhanbad me durga puja or dussehra dono ka sangam dikhai deta h.
  • aadivasi kshetro me is din nritya -gan or paramparik puja ka aayojan hota h.

10.maharashtra(Mumbai ,Nagpur ,Pune )

  • Maharashtra me dussehre ko aayush puja or apta ped ki parampara ke liye jana jata h .
  • Log sone ke patte (apta prd ki pattiya ) ek dusre ko sona kahkar bhet me dete h.
  • Ise sampatti or samriddhi ka pratik mana jata h.
  • Mumbai or pune me bhi ravan dahan ka  aayojan hota h.

11.Tamilnadu or Andhra Pradesh

  • Yha dussehra golu sajane ki parampaara se juda h.
  • Mahilaye ghar me sidhi jaise jagah par devu -devtao ki murtiya or khilaune sajatih.
  • Bhajan kirtan or sanskritik karyakram ka aayojan hota h.
  • Ise bombai golu bhi kahte h.

12.Kerela

  • Kerela me dussehre ko vidyarambham ke roop me manaya jata h.
  • Chhote bachche ko is din akshar gyan diya jata h.
  • Guru or gyan ki puja ki jati h.





13.Assam or Purvotar rajya

  • Assam or manipur me dussehra durga puja ke roop me manaya jata h.
  • Guwahati ke kamakhya mandir me vishesh puja hoti h.
  • Yha maa durga ki murtiyo ka visarjan bhi mukhya aakarshan ka kendra hota h.

Bharat ki sanskritik anekta is bat se spast hoti h ki ek hi tyophar dussehra ko alag -alag rajyo me alag -alag roop or paramparao se manaya jata h.

  • Kahi ravan dahan pramukh h(uttar bharat)
  • Kahi durga visarjan hota h(purv bharat )
  • Kahi devidevtao ki shobhayatra nikalti h (kullu ,himachal)
  • Khi shahi julus or mahal ki roshni aakarshan banti h(maisur ,karnatak)
  • Kahi sna (apta ped ki pattiya ) bati jati h(maharashtra)
  • Kahi bachcho ko shiksha ka pahla path padaya jata h.

Is prakar dussehra n kewal dharmik drishti se ,balki samajik or sanskritik bhartiya logo ki jodne walaparv h.ye parv hme ye samdesh deta h ki chahe hm kitnu bhi anekta me kru na rehte ho ,hmari aastha or parampara hme ek sutra me piro deti h.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Home Navratri Dussehra Wishes Shop
Scroll to Top