Contents
Ramayana Story
Barat ki sanskriti or dharmgrantho me ramayan ka bahut mahatvapurn jagah h. Ramayan kewal ek dharmik granth hi nhi h ,balki ye ek aadarsh jivan jine ki sikh dene wala bhi h. Maharshi valmiki ne bhagwan shree ram ke jivan ,unke aadarsh , unke maryada , dharmpalan or tyag ki sabhi gathao ko bahut hi shandar tarike likha h or ramayan ki rachna ki h. Ramayan sirk ek katha hi nhi h balki ,kartavya , naitikta or manaviya mulyo ki siksha dene wali anokhi virasat h.
Ramayan ki shuruwat
Ramayan ki katha ayodhya se shuru hoti h . Ayodhya nagari ke raja anpi raniyo kaushalya , sumitra ,kaikai ke sath bahut hi sukh se rahte the .Unke char bete hue -ram ,lakshman ,bharat or shatrughan . Charo bhaiyo me se ram sabse bade or sabse aadarsh the .Ram me sach ,dharm or maryada ka palan krne ki anokhi takat h.
Ram or sita ka shadi
Bhagwan ram ki shadi janakpuri (mithila)ki rajkumari sita se hua .Jab ram ji ne shiv bhagwan ka dhanush toda tab unka sita ji se shadi hua tha . Iske bad se bhagwan ram pure duniya bhar me mashoor ho gye . Mata sita ne bhagwan ram ko pati ke roop me swikar kiya or ye shadi dharm or prem ka anokha milan tha .
Kaikai ka vardan or ram ka vanvas
Raja dashrath ne ram ko rajkumar banane ka socha tha ,lekin kaikai ne phle diye hue vardan ko mang kr 14 sal ka vanvas or apne nete bharat ko rajkumar banane ki mang kar di . Raja dasrath udas hote hue bhi vada krne ke wajah se chhup the .Ram ne apne pita ki bat mankar bina kisi aapatti ke man kr jangal jane ka faisla kiya . Ram ke sath mata sita or lakshman bhi jangal chle gye .Ye vishay tyag ,aagya manna or bhakti ka h.
Vanvas ki kahaniya
Jangal me ram , sita or lakshman ne bahut sare rishiyo se mile or asuro ko sanghar kiya .Unhone ahilya ka mukat kiya , shabri ke ber khaye or rishiyo ko dukh dene wale rakshas ko hra diya .
Mata sita ka haran
Vanvas ke samay lanka ke raja ravan ne dhokhe se mata sita ka haran kr liya tha .Ravan ne sone ki hiran ka bahana bna kr ram or lakshman ko dur bhej diya or ladai hua .sita ka apharan krke unhe lanka le gya .Mata sita ka haran ramayan ka sabse mahatvapurn mod h.
Hanuman or sugriv se dosti
Mata sita ko dhundhte hue shree ramki mulakat vanarraj sugriv se hui . Hanuman ji ne shree ram ka sath diya or mata sita ko dundhte hue lanka me pahauch gye .Hanuman ji ki bhajti , shakti or wafadari ramayan ki sabse jyada prerak kathao me se ek h.
Lanka yuddh
Shreeram ne vanar sena ke sath milkar samudra me ram setu banaya or lanka ke taraf chle gye .Lanka me bhayanak ladai hua .Ravan or uske bhai kumbhkarn ,meghnad jaise yoddhao ki maut hui . Or aakhir me bhagwan ram ne ravan ko mar kar dharma ki jeet sunischit ki .Ye awsar satya or asatya ,dharm or adharm ,acchhai or burai ke bich ladai ka pratik h.
Ayodhya wapsi or rajyaabhishek
14 sal ka vanvas pura krne ke bad ,shree ram , mata sita ,or lakshman wapas aaye . Ayodhya ke logo ne unka bahut hi shandar swagat kiya . Bharat ne shree ram ko rajya sauo diya or shree ram ka rajyaabhishek hua. Ramrajya ki sthapna hui ,jisme praja khush hui , nyaypurna or dharmprayan ho gai .
Ramayan se milne wale aadarsh
Ramayan sirf ghatnao ka vivran nhi h , balki ye hme zindagi jine ke tarike o rsiksha deti h.
- Ram – Maryada , kartavya or sach bolne ka aadarsh .
- Sita – Pativrata ,tyag or sabra ki murti .
- Lakshman – Sewa bhakti or bhai ke liye wafadari ka udahran .
- Hanuman – Bhakti ,shakti or samarpan ka pratik .
- Bharat – Tyag or bhai ke liye prem ka aadarsh .
- Ravan – Vidvan hote hue bhi ahankar or adharma ka pratik .
Ramayan ki kahaniya sirf purani kathaye nhi h ,balki jindangi ko shi tarah se jine ka margdarshan karti h. Ramayan me parivar ke liye kartavaya , dharma ke liye aastha ,sach or ahinsa ka palan ,stree samman or bhakti jaise kai mul sikhaye gye g . Aj bhi ramayan bhartiya samaj or sanskriti ka aadhar h. Shree ram ,sita ,lakshman or hanuman jaise patra logo ko dharma or naitikta ki or prerit krte h.
Ramayan hme ye sikhati h ki ,paristhiti chahe kiti bhi kathin ktu na ho ,sach or dharma ko apnane waka aakhir me hamesha hi jeeta h .