Contents
- 1 🌼 Navratri Vrat Vidhi
- 2 🕯️ VISHESH NIYAM(Navratri Vrat Rules):
- 3 🙏 Navratri ka mahatva :
🔹 1. Vrat ki taiyari (pahla sankalp)
kab kre : vrat ke pahle din (pratipada ) se ek din pahle (amawasya \purnima )
-
Ghar ki saf -safai kre ,or puja sthan suddh kare .
-
Satvik khna khaye , tamsik khana (pyaj ,lasun, mansahar or sharab aadi ) se dur rahe .
-
Man me ye sankalp le ki ap navratri ke nau din vrat ,niyam ,bhakti se karenge .
🔹 2. Kalash sthapna / Ghatsthapna (Pratipada -pahla din)
Samam:
-
Mitti ka bartan
-
Jau ya gehu (bone ke liye )
-
Pani se bhara hua kalash (Tambe ya mitti ka )
-
Aam ke patte ,nariyal ,lal kapda ,mauli ,supari chawal .
-
Devi ki murti ya photo.
VIDHI :
-
Subh muhurat me purv ya uttar disha ki or muh krke puja kre .
-
Mitti me jau boye (jise naudurga ke pratik ke roop me ugaya jata h).
-
Iske bich me kalash rakhe jisme saf pani bhare ,usme supari ,chawal ,durwa ,sikka dale .
-
Kalash ke mukh par aam ke patte rakhe or us par nariyal rakhe ,jise lal kapde me lapeta gya ho .
-
Kalash ke pass devi durga ki murti \photo sthapit kare .
-
Diya jalaye or sankalp le -mai (apna nam \grihasth ) devi ki kripa ke liye navratri ka vrat kar rahi hu.
🔹 3. DEVI PUJAN (HAR ROJ )
PRAMUKH SAMAN :
-
Pani ka lota ,akshat ,,phul ,durwa ,roli ,kumkum ,haldi ,naivaidh (phal ,mishthan ) ,diya dhup .
NITYA PUJAN VIDHI :
-
Hath me akshat or pani lekar vrat ka sankalp le.
-
Devi ko nahlaye (agar murti ho to ),kapde or gahne arpan kare .
-
Phul ,akshat ,kumkum,haldi ,chandan ,dhup ,diya or naivedh arpan kare.
-
Durga saptsati ka path kare (kam se kam kavach ,argla ,kilak or 13 adhyay ,ya samput path .
-
Maa durga ki aarti kare (ap chahe to har din ki alag- alag devi ki aarti kare ).
-
Prasad bate .
🔹 4. UPWAS KAISE KARE ?
VRAT KE PRAKAR :
-
Niejala upwas – pani bhi nhi lete (kathin vrat )
-
Phalahar vrat -Sirf phal ,dudh or vrat ka khana .
-
Ek samay khana -Ek bar vrat yogya khana (satvik ,bina anaj ).
-
Niyamit bhojan par sanyam – Koi vrat na rakhkar sir satvik bhojan.
KYA KHA SKTE H (PHALAHAR ME ):
-
Aalu ,shakarkand ,sabudana ,singhada ,kuttu ka aata ,rajgira ,moongphali ,dahi ,dudh ,phal .
-
Sendha namak ka prayog kare .
🔹 5. KANYA PUJAN (ASHTAMI YA NAVMI KO )
VIDHI :
-
2 Se 10 sal ki umra ki kanyao ko ghar bulaye (9kanyaye or 1 ladka “bhairav swaroop ).
-
Unke pair dhoye ,tika lagaye ,chudiya de ,khana khilaye .
-
Dakshina or uphar dekar vida kre .
🔹 6.HAWAN OR PUJA SMAPAN (NAVMI \DASHMI KO )
VIDHI :
-
Durga saptasati ka pra path kare (agar kar skte hto )
-
Devi ka pujan kar pushpanjali de .
-
Hawan kare -“swaha ke sath gay ke ghee ,nariyal .gud ,guga ,hawan ke saman ko dale.
-
Hawan ke bad kalash visarjan kare -kalash ke pani ko tulsi ke paushe me dal de.
-
Devi ka visarjan kare (murti hoto nadi me pavitra jagah par ,photo hoto surakshit jagah par rakhe .)
-
Roj subah or sham nha kar suddh kapde pahne .
-
Brahmcharya ka palan kare .
-
Jhuth ,gussa ,burai tamsik khana se dur rahe .
-
Maa durga ke bij mantra “om e hi kli chamundaye vichche “ka jap kare .
-
Sham ko diya jalakar aarti jarur kare .
-
Jivan ki nakaratmakta ko hatane ,shakti ,shakti prapti ,shanti ,unnati or kashto se mukti ke liye navratri ka vrat atyant subhkari mana gya h.