🌼 Navratri Ka Chhatha Din (Shashthi) 2025: 🙏 Maa Katyayani Puja Vidhi & Dussehra Mahatva

Maa Katyayani Puja Vidhi & Dussehra Mahatva

Navratri ka parv maa durga ki bhakti or sadhna ka vishesh awsar hota h. Nau dino tak mata ke alag-alag swaroopo ki puja ki jati h. Har din ki apni alag mahima or visheshta hoti h . Navratri ke chhathe din yani shashthi tithi ko maa katyayni ki puja-archana ki jati h. Ye din shakti ,sahas or jeet ka pratik mana jata h.Aaiye pure detail me jante h ki navratri ke chhathe din kya -kya hota h.

1. Maa katyayni ka swaroop 

  • Maa katyayni ka rishi katyayan ke ghar hua tha ,isliye unhe katyayni kha gya .
  • Inka vahan sher h,jo prakram or nirbhikta ka pratik h.
  • Inke char hath h-
  • ek hath me talwar,
  • dusre hath me kamal,
  • tisra hath abhay mudra me,
  • or chautha var mudra me hota h.
  • Unka tej bahut divya or prachand h,jo bhakto ko shatruwo se raksha krne ka aashirwad deta h.

2. Dharmik manyata 

  • Chhathe din maa katyayni ki puja se shatruwo ka nash hota h.
  • Bhakt ko dharm ,arth ,kam or mokh charo purushartho ki prapti hoti h.
  • Avivahit ladkiyo ke liye ye din vishesh phaldayi mana gya h.Manyata h ki maa katyayni ki aradhna krne se yogya jivansathi prapt hota h.
  • Ye din sahas ,bal or aatmavishwas badhane wala mana jata h.

3. Puja ka mahatva 

  • Is din ki puja se grah dosh or vaivahik badhaye dur hoti h .
  • Sadhak ko aadhyatmik shakti or aatmbal prapt hota h.
  • Jo log siksha,vyavsay ya pratiyogi parikshao me safalta chahte h ,unke liye ye visheshh din h.

4. Puja vidhi 

Chhathe din ki puja vishesh niyamo ke sath ki jati h.

  1. Bhor me nahana or sankalp 
  • Nhakar saf kapde pahne
  • Puja wake jagah ko gangajal se pavitra kre .
  • Sankalp le ki ap pura din maa katyayni ki puja karenge.

2. Murti ya photo ki sthapna

  • Maa katyayni ki pratima ya photo ko aasan par sthapit kre .
  • Samne sher ka photo ya murti rakhna subh mana jata h.

3. Diya or kalash sthapna 

  • Diya jlakar kalash sthapit kre .
  • Lal ya pile rang ke kapde ka use kre kyuki ye rang maa ko pasand h.

4. Phul or naivedh arpan 

  • Maa katyayni ko lal phul or gulab vishesh roop se arpit kiye jate h.
  • Shahad ,gud or halwe ka bhog chadhaya jata h.

5. Mantra jap or path 

  •   Mantra : om devi katyaynyai namah 2
  • ” Durga saptshati ”  ya ” katyaynistotra” ka path kre .

6. Aarti or prasad vitran

  • Ant me dhup-diya se aarti krke prasad sabhi ko vitrit kre .

5. Maa katyayni ka mantra or stuti 

  • Bij mantra :                                                                                                                                                    om ae him kali chamundayai vichche 2
  • Prathna mantra :                                                                                                                                           ” Chandrahasojjalkara  shardulawarvahna  1                                                                                     katyayni subham daghad devi danvaghatini 2″

6. Upwas ka mahata 

  • Chhathe din vrat rakhne se jivan ki nakaratmak urja khatm hoti h.
  • Avivahit ladkiya is din vishesh roop se vrat rakhti htaki unhe yogya var ki prapti ho.
  • Upwas ke samay sirf phal ,dudh or satvik khana khana chahiye .

7.Pauranik katha 

  • Mahisasur vadh ki katha
  •  Katha h ki mahisasur nam ke asur ne devtao ko hra diya tha .
  • Tab bhagwan brahma ,vishnu or mahesh ki shaktiyo se devi katyayni prakat hui.
  • Maa katyayni ne mahisasur ka vadh kiya or devtao ko jeet dilai .
  • Isliye inhe ” mahisasur mardini ” kha jata h.
  • Is katha se ye sandesh milta h ki burai chahe kitni bhi shaktishali kyu n ho ,aakhir me sach or dharm ki jeet hoti h.

8. Aadhyatmik mahatva 

  • Chhathe din sadhak ka man ” agya chakra ” (bhauho ke bich sthit urja kendra ) par kendrit hota h.
  • Ye dhyan or sadhna ke liye shreshth din h.
  • Sadhna se sadhak ki antdrishti prabal hoti hor nirnay kshamta badhti h.

9. Samajik or sanskritik paksh

  • Chhathe din alag-alag jagaho par bade star par samuhik bhajan-kirtan or durga saptshati ka path hota h.
  • Gao or shahro me pandalo me maa katyayni ki jhakiya sajai jati h.
  • Mahilaye or kanyaye visheshkar maa ki aradhna krke apne parivar or jivan ki mangalkamna krti h.





 

10. Vishesh anushthan 

  • Avivahit ladkiya is din ” katyayni vrat” krti h.
  • Kuch jagaho par kanya pujan ki bhi shuruwat hoti h.
  • Bhakt is din dan-punya krte h,visheshkar gud or kapde dan krna bahut subh mana jata h.

Navratri ka chhatha din yani shashthi tithi , maa katyayni ki upasana ke liye samarpit h. Is din bhakto ko sahas , shakti or vijay ka aashirwad milta h. Avivahit ladkiyo ke liye ye din vishesh roop se mahatvapurn hkyuki maa katyayni unki sabhi badhaye dur krke unhe uchit var pradan krti h. Is din ki puja se dushmano ka nash hota h or jivan me sukh-samriddhi ,shanti or safalta ka rasta khulta h.Is prakar navratri ka chhatha din bhakto ke liye bhakti ,sadhna or jeet ka sandesh lekar aata h.

 

🌼 Quick Guide : Navratri Ka Chhatha Din (Shashthi) 2025

📅 Date: 27 September 2025 (Saturday) 
On this day, devotees worship Maa Katyayani, the 6th form of Maa Durga.

🎨 Colour of the Day (2025): Orange


🙏 Maa Katyayani — Mahatva (Significance)

  • Maa Katyayani is a fierce warrior form of Durga, who slayed demons and protects devotees.

  • She is worshipped for strength, protection, removal of obstacles, and often invoked by unmarried girls desiring a life partner.

  • Her iconography: she rides a lion, has four arms (one holding sword, lotus, and her other two in Abhaya / Varada mudras)


🪔 Puja Vidhi of Maa Katyayani (Step-by-Step)

Here is a typical ritual / puja vidhi (can vary by region / family) in Hinglish:

1️⃣ Subah Uthna & Snan
 Subah jaldi uth kar pavitra snan karein, man aur sharir ko shuddh banayein.

2️⃣ Altar Sthapana
 Maa ki murti ya chitra ko swachh altar par sthapit karein, phoolon aur mala se sajayein.

3️⃣ Vastra (kapda) ka chunav
 Is din orange ya surmai / red rang ke vastra pehna jaata hai (jo energy aur utsah dikhata hai).

4️⃣ Bhog / Arpan
 Maa ko phool, harit fal, halwa, kheer, honey ya jaggery sweets arpan karein. Honey (shahad) kai vidhanon me unka priya bhog maana jaata hai.

5️⃣ Mantra Jaap / Stuti
 Maa Katyayani ke mantr jaap karein, stuti path karein aur unko pranam karein. 
 Ek mantra: “ॐ देवी कात्यायन्यै नमः॥”

6️⃣ Aarti & Prarthana
 Diya jalayein, aarti karein, Maa se apni shubh ichhaayein aur suraksha ki prarthana karein.

7️⃣ Prasad Vitaran
 Bhog ko prasad bana kar parivaar aur antim bhog swaroop baant dein.


❓ FAQs (Kuch Sawal – Jawab)

Q1. Kaunsa rang pehna jaaye?
👉 Orange rang ka vastra (ya uske shade) pehna jaata hai is din.

Q2. Maa ko kya chadhaya jaaye?
👉 Phool, fruits, halwa, kheer, honey, sweets.

Q3. Mantra kya ho sakta hai?
👉 “ॐ देवी कात्यायन्यै नमः” aur anya stutiyan / mantr path.

Q4. Kya upvas karna chahiye?
👉 Upvas ya fast optional hai — shraddha aur bhakti sabse mahatvapurn hai.

                                                                         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Home Navratri Dussehra Wishes Shop
Scroll to Top