Contents
📅 Date: 26 September 2025 (Friday)
⏰ Panchami Tithi: Start 9:33 AM (26 Sept) → End 12:03 PM (27 Sept)
✨ Is din hoti hai Maa Skandamata ki puja – jo Maa Durga ka 5th roop hai 🙏
👩👦 Maa Skandamata – Mahatva
-
👩👦 Maa Skandamata hai Bhagwan Kartikeya (Skanda) ki maa
-
🦁 Lion par virajman, haath me lotus 🌸
-
❤️ Maa ki sharan me milta hai prem, shanti, sukh-samriddhi
-
🙏 Maa ka ashirwad deta hai wisdom & protection
🙏 Puja Vidhi (Step-by-Step)
1️⃣ 🛁 Subah snan karke shuddh ho jayein
2️⃣ 👗 Pehne Green colour (is din ka lucky colour 💚)
3️⃣ 🪔 Altar banayein – Maa ki murti/photo sthapit karein
4️⃣ 🌸 Chadhayein – red/lotus flowers, fruits 🍎, mithai 🍬, diya & agarbatti
5️⃣ 📿 Jaap karein – “ॐ देवी स्कन्दमाते नमः” mantra bolke puja karein
6️⃣ 🪔 Aarti karein – parivaar ke sath bhakti bhav se
7️⃣ 🍛 Bhog lagayein – phir sabko prasad baant dein
Maa Skandamata Puja Vidhi & Dussehra Mahatva
Naratri ka parv maa durga ke nau swaroopo ke upasna ka pratik h.Nau dino tak shraddhalu maa durga ke alag-alag swaroopo ki puja archna krke shakti ,bhakti or samriddhi ki kamna krte h. Navratri ke panchwe din yani panchmi tithi ko maa skandmata ki upasana ki jati h. Is din ka vishesh mahatva h kyuki maa skandmata ki puja se bhakti or mksh dono hi prapt hote h. Aaiye detail me samajhte h ki navratri ke panchmi ko kya -kya hota h or iska sharmik v aadhyatmik mahatva kya h.
1. Maa skandmata ka swaroop
Navratri ki panchmi tithi ko maa skandmata ki puja ki jati h.
- Maa skandmata ko ye nam isliye mila kyuki we bhagwan kartikey (skand) ki mata h.
- Inka vahan sher k, jo prakram or shakti kapratik h.
- Maa skandmata ke panch swaroop vishesh h- We char bhujao wali h, jinme se do hath me kamal phul dharan krti h,ek hath me bete skand (kartikey ) ko god me uthaye rahti hor chautha hath bhakto ko aashirwad dene ki mudra me rahta h.
- Unka varna bahut tejaswi or divya h,jo bhakto ko aatmik shanti or shakti pradan krta h.
2. Dharmik manyata
- Manyata h ki maa skandmata ki puja se jivan me saubhagya ,samriddhi or vidya ki prapti hoti h.
- Mata bhakto ke sabhi kasto ko nash krti h or unhe dharma or moksh ke raste par badhati h.
- Maa skandmata ko ” vidya or mukti “ki adhidhthatri devi ” bhi kha gya h.
- Ye bhi mana jata h ki is din ki puja se ghar me shanti or samriddhi bani rahti hor pariwarik sambandh mithe hote h.
3. Panchmi tithi ka mahatva
Navratri ke panchwe din ki visheshta ye h ki :
- Is din sadhak ke man me chanchalta khatm hone lagti h.
- Bhakt ko akagrata or shanti prapt hoti h .
- Maa skandmata ki puja krne se bhakt ko skand(kartikey) ka aashirwad bhi prapt hota h.
- Ye din grihasth jivan wale bhakto ke liye vishesh phaldayi hota h.
4. Puja vidhi
Maa skandmata ki puja vidhi is prakar h:
- Bhor me nahana or sankalp-
- Subah jldi uthkar nahana or or saf kapde pahanna .
- Puja wale jagah ko gangajal se pavitra kre or maa durga ki murti ya photo sthapit kre .
- Sankalp le ki ap pure shraddhabhav se maa ki puja karenge.
2. Kalash sthapna or diya jalana –
- Maa ki murti ke samnen kalash sthapit kre .
- Ghee ka diya jalaye.
3.Phul or naivedh arpan-
- Maa skandmata ko pile ya narangi rang phul ke phul vishesh roop se priya h,unhe parpit kare.
- Dudh se bani mithai ,visheshkar kheer ka bhog lagaye .
4. Mantra jap or stuti-
- Maa skandmata ki puja me ” om devi skandmatayai namah ” mantra ka jap 108 bar krna bahut subh mana jata h.
- ” Durga saptshati ” ka path bhi kiya jata h.
5. Aarti or bhog vitran –
- Aakhir me dhup-diya se aarti kre or prasad bate.
5. Maa skandmata ka mantra
- Bij mantra 2. Om devi skandmatayai namah
6. Vrat or upwas ka mahatva
- Panchmi ke din upwas rakhne se jivan ki badhaye dur hoti h.
- Bhakt is din phalahar ya dirf pani pikar hi maa ki puja krte h.
- Upwas ke samay sirf satvik khana hi kiya jata hor mansahar v tamsik chijo se dur rahna chahiye.
7. Kathaye or pauranik prasang
1. Kartikey ki mata ke roop me-
- Maa skandmata ne asuro se devtao ki raksha ke liye apne bete skand (kartikey) ko janm diya .
- Skand ne tarkasur ko markar devtao ko jeet dilai.
- Isi karan panchmi tithi par inki vishesh puja ki jati h.
2. Bhakt ki raksha –
- Manyata h ki jo bhakt sachche man se panchmi din maa ki aradhna krta h, uske dushman kabhi use nuksan nhi pahucha skte h.
8. Aafhyatmik mahatva
- Panchmi tithi sadhak ko uchch koti ki chetna tak le jati h.
- Maa skandmata ki kripa se bhakt ki buddhi suddh or nirmal ho jati h.
- Sadhak ka man bhautik ikchhao se hatkar adhyatma ki or badhta h.
9. Samajik or sanskritik paksh
- Kai jagaho par panchmi ke din vishesh samuhik puja or bhajan- kirtan ka aayojan hota h.
- Bhakt mandliyo dwara durga saptdashi or devi geet gay jate h.
- Jagah -jagah pandalo me maa skandmata ki jhaki sajai jati h.
10. Panchmi sse jude vishesh anushthan
- Kuch jagaho par panchmi ke din kanya pujan ka aayojan kiya jata h.
- Maa skandmata ko dudh ,nariyal ,or kele ka vishesh bhog chadhaya jata h.
- Bhakt is din dan-punya bhi krte h, jaise anaj, kapde or phal garibo ko dan krte h.
Navratri ki panchmi tithi maa skandmata ko smarpit h. Ye din bhakto ke liye vishesh mahatva rakhta h kyuki mata ki kripa se n sirf bhautik sukh -samriddhi milti h ,balki aadhyatmik unnati or moksh ki prapti bhi hoti h. Panchmi ki puja krne se bhakt ka man or dil suddh hota hor jivan me shanti ,saubhagya or shakti ka sanchar hota h . Yhi karan h ki navratri ki panchmi tithi ko bade shraddha or bhakti bhav se manaya jata h.
❓ FAQs (Aksar Poochhe Jane Wale Sawaal)
Q1. 📅 Panchami kab hai 2025 me?
👉 26 September 2025 (Friday)
Q2. 🎨 Colour of the Day?
👉 Green 💚
Q3. 🌸 Maa ko kya chadhaye?
👉 Red flowers, lotus, fruits, kheer, mithai
Q4. 🙏 Maa se kya vardaan milta hai?
👉 Shanti 🕊️, Gyaan 📚, Raksha 🛡️, Samriddhi 💰
Q5. 🍏 Kya fasting zaroori hai?
👉 Nahi, sabse important hai bhakti & shraddha ✨