Navratri ka mahatva or ayojan
Navrtri bharat ka ek pramukh dharmik or sanskritik parv h,jise pure utsah ke sath pure desh me manaya jata h.Ye parv Maa Durga ke nau roopo ki puja krne ke liye kiya jata h. Navratri ka pahla din “pratipada ” ya ekam kahlata h. Is din ka vishesh mahatva hota h,kyuki is din bhakt log maa durga ko aamantrit krte h or pure nau dini ko puja archana ki niv rakhte h. To aaiye pure detail me jante h ki navratri ke din ekam me kya- kya hota h.
1.Navratri ka shuruwat or mahatva
Navratri ka pahla din pure utsav ka shuruwat mana jata h.Is din ko subh kamo ki shuruwat krne ke liye sabse acha or shreshth mana jata h. Aisa viswas h ki is din bhakt maa durga ko apne ghar aamantrit krte h or pure nau dino tak unka dhyan ,puja or vrat krte h. Ekam ka din subh or pavitra mahol banane wala hota h.
2. Kalash sthapna (ghatsthapna)
Navratri ke pahle din kalash sthapna ka visesh mahatva h. Ise ghatsthapna bhi kha jata h.
- Ek saf or pavitra jagah par pila ya lal kapda bichaya jata h.
- Mitti ke patra me jau ugaye jate h. Ye jau ugne par samriddhi or subhta ka pratik mane jate h.
- Iske bad tambe ,mitti ya pital ke kalash me gangajal bhara jata h or uske upar aam ke patte or nariyal rakhkar kalash ko devi ka pratik mana jata h.
- Ye kalash hi pure navratri puja ka main bindu hota h.
Ghatsthapna ka samay vishesh muhurat me kiya jata h,kyuki mana jata h ki galat samay par ki gai sthapna asubh parinam deti h.
3. Maa Shailputri ki puja
Navratri ke pahle din maa shailputri ki puja ki jati h.
- Maa shailputri ,himalyaraj ki beti or bhagwan shiv ki ardhangini mani jati h.
- Ve vrishabh (bail ) par swar hoti h,unke dahine hath me trisul or baye hath me kamal hota h.
- Inki upasana se insan ko shanti ,samriddhi or aatmavishwas milta h.
Is din bhakt divi ko akshat ,lal phul ,ghee or mithai arpit krte h.Mata ko lal rang bahut pasand h,isliye pahle din lal kapde pahanne ka vishesh mahatva h.
4. Vrat or upwas ki parampara
Ekam ke din bahut se log navratri ka vrat shuru krte h.
- Vrat krne wala din bhar phalahar ya phir sirf pani pikar maa ki puja krte h.
- Subah or sham dono samay aarti or mantruchcharan kiya jata h.
- Upwas krne se sharir suddh hota hor man ekagra hokar puja-path me lag jata h.
5. Maa ki aradhna ki vidhi
Pahle din bhakt jan maa shailputri ka dhyan ,puja or manta jap krte h.
- Pahle kalash ki puja hoti h.
- Uske bad diya jalaya jata h.
- Phir devi ko phul ,dhup ,diya ,naivegh or sindur chadhaya jata h.
- ” Om devi shailpurtrayai namah” mantra ka jap kiya jata h.
Is din ganga jal ka chhidkav kar pure ghar ko suddh kiya jata h.
6. Sanskritik or samajik mahatva
Navratri ka pahla din sirf dharmik drishti se hi nhi, balki sanskritk drishti se bhi mahatva purna h.
- Is din se bahut sare rajyo me garba ,dandiya or jhakhi jaisi kamo ka shuruwat hota h.
- Mandiro me vidhesh sajawat hoti hor jagah-jagah devi jagran ka aayojan kiya jata h.
- Gramin ilako me log kheto me naye bij bote h or ise subh mante h.
7. Ekam ka aadhyatmik sandesh
Navratri ka pahla din hme ye sandesh deta h ki jivan me har kam ki shuruwat pavitrata or shraddha se krni chahiye.
- Maa shailputri hme dhairya or sadgi ka path padhati h.
- Ye din bhakti ,vishwas or achchhi urja ka pratik h.
- Jab insan shraddha or vishwas ke sath navratri ki shuruwat krta h, to uska manobal badhta h or jivan me safalta ka rasta bahut bada hota h.
Navrati ka pahla din ,jise ekam ya pratipada kha jata h,pure nau dino ke parv ki niv h. Is din kalash sthapna or maa shailputi ka vishesh mahatva h. Bhakt upwas ,mantajap or aarti ke madhyam se maa ka aashirwad prapt krte h. Is din ki gai puja pure navratri ke dauran sakaratmak urja or aadhyatmik shanti pradan krti h. Isliye navratri ki sahi shuruwat krne ke liye ekam ka din sabse mahatvapurna or pavitra mana jata h.