🌼 Navratri Ka Chautha Din (Chaturthi) 2025: 🙏 Maa Kushmanda Puja Vidhi & Dussehra Mahatva

Maa Kushmanda Puja Vidhi & Dussehra Mahatva

Bharat me navratri ko shakti upasna ka sabse pawan oe mahatvapurna parv mana jata h. Ye nau dino tak manaya jane wala utsav h, Jisme maa durga ke nau swarupo ki vidhiwat puja -archana ki jati h. Navratri ke har din maa durga ka ek vishishth roop ko puja jata h, or har swaroop ka apna hi mahatva h. Navratri ka chautha din maa durga ke maa kushmanda swaroop ki aradhna ke liye samarpit hota h.. Is din ki sadhna se sadhak ko divya urja ,aarogya or samriddhi ki prapti hoti h.

Maa kushmanda ka swaroop

Maa durga ka chautha roop ” kushmanda ” kahlata h. Manyata h ki unhone apni mand muskan (kushma= haldi ,anda= andakar brahmand ) se sampurn brahmand ki rachna ki .Isliye inhe brahmand ki aadishakti or srishti ki janni mana jata h.

Maa kushmanda ke aath bhujaye hoti h, jinme we alag-alag divya vastuye dharan krti h-kanmandal ,dhanush ,ban ,kamal ,amritkalash ,chakra ,gada or japmala .Unke hath me rakhe amritkalash se jivan or swasthaya ka sanchar hota h. Maa sher par swar rahti hor unke charo or sueya ki tejaswi aabha bikhri rahti h. Isliye inhe “aaditya ki adhishthatri devi ” bhi kha jata h.

Maa kushmanda ki katha

Purani katha ke anusar, jab srishti ka astitva nhi tha or har taraf andhera hi andhera faila hua tha ,tab devi kushmanda ne apni adbhut muskan se andakar brahmand ki rachna ki . Unke prakash se hi surya ,chandra or taro ka janm hua . Isi karan unhe brahmand ki sarjak bhi kha jata h.

Ek anya katha ke anusar ,jab devta or asuro ke bich bhayankar ladai hua , tab maa ne apne tej se devtao ko bal or urja diya ,jisse we asuro se jeet sake.

Navratri ke chauthe din ki puja – vidhi

Maa kushmanda ki puja bade hi vidhipurwak ki jati h. Chauthe din ki puja vidhi is prakar h:

  1. Bhor me nha kr suddh kapde pahne . Ghar ki puja wale jagah ko gangajal se pavitra kre .
  2. Maa durga ki pratims ya photo ko chaki par lal kapde bichhakar sthapit kre.
  3. Maa ko akshat ,sindoor ,kumkum , phul or dhoop-diya arpit kre.
  4. Vishesh bhog- Maa kushmanda ko is din malpuwa ,halwa or nariyal arpit krna subh mana jata h.
  5. Puja krte samay ye mantra jape-                                                                                                             ” Om devi kushmandayai namah”
  6. Puja ke bad maa ki aarti kre or parivar sahit prasad khaye .

Mana jata h ki agar bhakt is din diya jalakar maa ki aradhna krta h,to uske jivan se rog or dukh dur hote h.

Aadhyatmik mahatva 

  • Maa kushmanda ki puja se sadhak ke andar nai urja or sakaratmakta ka sanchar hota h.
  • Unke upasak ko aayu , yash or aarogya ki prapti hoti h.
  • Ye din vishesh roop se un logo ke liye phaldayi h,jo mansik roop se tanaw, dar ya uasi se grasit rahte h.
  • Sadhak ko aadhyatmik raste par aage badhne ki prerna milti h.

Vrat or aahar niyam 

Navratri ke chauthe din upwas ka wishesh mahatva h.Is din bhakt phalahar krte h. Kuch log sirf phal or dudh khate h,jabki kuch bhakt sabudana ,kuttu ka aata ya singhade ka aata khate h.

  • Is din kaddu (lauki ) ka vishesh roop se subh mana jata h.
  • Khana satvik hona chahiye or tamsik padartho ( pyaj , lahsun , mans ,daru ) se dur rahna chahiye .

Jyotishi mahatva 

Maa kushmanda ka samandh surya grah se h .Atah unki puja se surya sambandhi  dosh shant hote h.

  • Yadi kisi insaan ki kundali me surya kamjor h ya wo aatmawishwas ki kami se grasit h ,to is din ki sadhna use labh deti h.
  • Isse jivan me prakash , aatmabal or tejswita ka sanchar hota h.

Vishesh manyataye or fayde

  1. Maa kushmanda ki aradhna krne se dhan- sampatti or vaibhav ki prapti hoti h.
  2. Bhakt ko aarogya or dirghayu ka aashirwad milta h.
  3. Grihasth jivan me sukh-shanti bani rahti h.
  4. Vidyarthiyo ke liye ye din vishesh mahatvapurna h, kyoki ye vidya or gyan me vriddhi krta h.
  5. Maa ki kripa se sadhak ke ghar -parivar me sakaratmak urja or mangalmay mahol bna rahta h.





Maa kushmanda ki aarti 

Navratri ke chauthe din bhaktjan maa kushmanda ki aarti gate h . Aarti ke samay mahol me divya urjaor bhakti bhav ka sanchar hota h.

Navratri ka chautha don maa kushmanda ki upasana ko samarpit h. Ye din hme ye sandesh deta h ki andhera chahe kitna bhi gahra kyu na ho , prakash ki ek kiran use dur kar skti h. Maa  kushmanda ka swaroop srishti ki utpatti or urja ka pratik h.Unki puja krne se jivan me nai urja ,utsah or samriddhi aati h.

Jo bhakt pure vidhi-vidhan se is din upwas rakhte h or shraddha bhaw se maa kushmanda ki aradhna krte h,unhe swasthya ,aishwarya or aadhyatmik utthan ka vardan prapt hota h. Is prakar navratri ka chautha din sadhak ke jivan me prakash ,shakti or sakaratmakta ka sanchar krta h.

 

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Home Navratri Dussehra Wishes Shop
Scroll to Top