Bharat utsavo ki bhumi h ,jha har tyohar apni sanskritik , dharmik or samajik pahchan ke liye manaya jata h. Dussehra ek aisa parv h jo burai par achchhai ki jeet ka pratik mana jata h. Is din bhagwan ram ne ravan ko mara tha . Dussehre ka sabse mukhya aakarshan hai -ravan dhan . Hmare desh ke har hisse me apni paramparao or riti riwajo ke anusar ravan dahan aayojit kiya jata h.
Contents
Sthaniya ravan dahan kaΒ mahatva
Ravan dahan sirf ek dharmik anushthan nhi h ,balki ye lok parampara or samajik ekta ka bhi pratik h .Gaon or shahar dono ke log milkar is aayojan ko safal banate h. Iska mahatva is prakar h –
- Ye burai par achchhai ki jeet ka pratik h.
- Smaaj me naitik mulyo kaΒ sthapit krne ka sandesh deta h.
- Samohik utsav me samajik ekta or bhaichara badhta h.
- Bachcho or bado ko ramkatha or bhartiya sanskriti se jode rakhta h.
Sthaniya ravan dahan ki taiyari
- Kalakar or karigar milkar bans ,lakdi , kagaj , kaode or rango se ravan ,meghnad or kumbhkaran ke putle banate h.
- Gaon me ye sb putle chhote or sadharan hote h , Jabki shahar me kai foot unche or aakarshak banaye jate h.
- Putle me aatishbaji or pathakhe bhare jate h taki jalne par wo dhamakedar tarike se phate .
- Mele ka aayojan hota h jisme jhule , dukane or khane pine ke stall sajaye jate h.
Sthaniya star par ravan dahan ka aayojan
- Ramleela ka manchan kai dino tak chalta h or dussehre ke din yuddh ka najara dikhaya jata h.
- Ladai ke ant me bhagwan ram ravan par tir chalate h. jaise hi tir putle par lagta h tir me aag lag jati h.
- aatishbaji nor pathakho ke sath ravan pura jal uthata h .
- Wha khadi bheed jay shree ram or sita mata jki jay ke nare lagati h.
- Ravan dahan ke sath -sath meghnad or kumbhkaran ke bhi putle jal jate h.
Sthaniya paramparaye or visheshtaye
Har jagah ke ravan dahan ki apni visheshtaye hoti h.
- Gaon me : putlr hamesha chhote or sadharan hote h.samuhik roop se gaon ke log ise banate h or sajate h . yha dharmik bhakti or lokgito ka mahatva jyada hota h .
- Shahro me : Bade bade maidno me bhavya ravan dahan hota h. aadhunik taknik,Β aatishbaji or rangeen lights ka use kiya jata h.
- Uttar bharat : khaskar delhi , varanashi , lucknow or patna me vishal ravan dahan ka aayojan kiya jataΒ h.
- Himachal pradesh ke kullu meΒ dussehra ek bahut hi anokhe dhang se manaya jata h ,Jha ravan ka putla nhi jalaya jata h ,balki wha devi -devtao ka mela hota h.
Sthaniya ravan dahna me mela ka aayojan
Ravan dahan sirf dharmik anusthan nhi h balki ek bade samajik mele ka roop bhi le leta h.
- Sthaniya dukandar apni dukano or stallo par mithai , khilaune or kapde bechte h .
- Jhule , jadu ke khel or loknritya logo ka manoranjan karte h.
- Bachche aatishbaji or pathakho ka anand lete h.
- Gramin ilako me lok geet or bhajan sandhayaye bhi aayojit ki jati h.
Ravan dahan ka samajik sandesh
- Chahe burai kitni bhi shaktishali kyu na ho aakhir dharma or sach ki hi jeet hoti h.
- Samaj me milkul kar tyohar manane se ekta or bhaichara badhta h.
- Ye aayojan hmari nayi pidhi ko sanskriti or parampara se jodta h.
- Jivan me ahankar ,lalach ,gussa or anya buraiyo ko chhodne ki prerna milti h.
Sthaniya ravan dahan bhartiya sanskriti or parampara ka ek hissa h . Ye aayojan hme itihas ki yad dilata h . or jivan me achchhe aacharan tha dharma ka palan krne ki prerna deta h. chahe ye aayojan gaon me gaon me sadharan roop se ho ya shahar me bade roop me ho , iska uddehya ek hi rahta h- burai ka nash or acchhai ki jeet . Is prakar sthaniya ravan dahan kewal ek dharmik anushthan nhi h balki samajik ,sanskritik or naitik shiskha ka bhi anokha madhyam h .