Dussehra Puja Vidhi 2025 – Complete Rituals & Steps

DUSSEHRA PUJA VIDHI

Dussehra parv vastav me navratri ke das dino tak ka parv h.Jisme pahle nau din maa durga ki puja or daswe din vijyadashmi manai  jati h. Yha pe har din ki puja vidhi batai gai h .

DAY 1- PRATIPADA (ghatsthapna or kalash sthapna )

  • Subah nha kr ghar ya mandir ko suddh kare .
  • Subh muhurat me kalash sthapna kare .
  • Mitti se bedi bnakr uspe jau \gehu  boyr jate h.
  • Kalash par aam ya ashok ke patte ,nariyal or mauli bandhkar sthapit kiya jatah.
  • Devi durga ka aawahan kar “om dun durgai namah ” mantra se puja kre .
  • Diya jalakar akhand jyoti prajwallit kare .

DAY 2- DWITYA ( Maa brahmcharini puja )

  • Is din maa brahmcharini kipuja ki jati h .
  • Unhe suddh ghee ka bhog arpit kare .
  • Dhup ,ghee ,pusp or akshat se puja kare .
  • Sadhak is din sanyanm or sadhana ka sankalp lete h.

DAY 3- TRITIYA (Maa chandraghanta puja )

  • Maa chandraghanta ko sugandhit phool ,or gandh arpit kare .
  • Gud ya doodh se bani chije bhog lagaye .
  • Is din bhakt maa se sahas or shakti ki prathna krte h.

DAY 4-CHATURTHI (Maa kushmanda puja )

  • Maa kushmanda ko malpuwa ya mitha bhog arpit kare .
  • Nariyal or belpatra chadhaye .
  • Puja se swasthya or aishwarya ki prapti hoti h.

DAY 5- PANCHMI (Maa skandmata )

  • Maa skandmata ko kele ka bhog arpit kare .
  • Lal phul ,dhup or diya se puja kare .
  • Bhakto ko is din santan sukh ki prapti ke liye vishesh prathna krni chahiye .

DAY 6- SHASHTHI (Maa katyayni puja )

  • Maa katyayni ko shahad ka bhog lagaye .
  • Lal chandan ,dhup ,diya se puja kare .
  • Shadi ke layak ladkiya is din vishesh roop se ma  ki upasana krti h .

DAY 7- SAPTMI ( Maa kalratri puja )

  • Maa kalratri ko gud or dhanya ka bhog arpit kare .
  • Rat ke samay me vishesh aarti ki jati h.
  • Bhakto ko dar ,dushman or nakaratmak shaktiyo se mukti milti h.

DAY 8- ASHTAMI ( Maa mahagauri ki puja )

  • Maa mahagauri konariyal , halwa or puri ka bhog arpit kare .
  • Is din kanya pujan ( kunwari kanyao ko bhojan karana )parampara h.
  • Kanyao ko bhojan karakar kapde \uphar diye jate h.

DAY 9- NAVMI ( Maa siddhidatri puja )

  • Maa siddhi datri ko til or nariyal ka bhog lagaye .
  • shankh or ghanti bajakar puja kare .
  • Sadhak is din maa se siddhi or safalta ki kamna krte h.
  • Kanya pujan (yadi asthmi ko n kiya ho to ) navmi ko bhi kiya jata h.





DAY 10 -VIJYADASHMI \DUSSEHRA

  • Subah nhakr maa durga ka visarjan (awsan puja ) kiya jata h.
  • Kalash or jau ko pani me bha diya jata h.
  • Shree ram ki puja or or ravan dahan ka aayojan hota h.
  • Is din shastra puja or vahan puja bhi kiya jata h.
  • Log ek dusre ko shami ke patte ( swarn patra ) dekar vijay ka sandesh dete h.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Home Navratri Dussehra Wishes Shop
Scroll to Top