Hmare desh bharat me dussehra ka parv bahut hi khushi ,umang or shraddha se manaya jata h. Ye tyohar burai par achchhai ki jeet ka pratik h . Ghar ki saf-safai or sajawat is din ko or bhi jyada subh or aakarshak bna deti h. Jab pura ghar saja dhaja hota h to ,mahol me utsah or shakti ka sanchar hota h. To aaoye jante h dussehre par ghar ko kaise sajaye .
1. Ghar ki saf -safai
- Dussehre ki taiyaroi me ghar ki puri tarah se saf safai hoti h.
- Ghar ki purani or tuti -futi chije ko bahar nikal kar gahr me nayi shakti ko late h .
- Ache se jhadu or pocha karkr achchhi khushboo wale floor cleaner istemal karke ghar ko saf or sugandhit banate h.
2. Rangoli bnakar
- Rangoli ko subh or aishwarya ka pratik mana jata h.
- Ghar me main gate par rang birange powder or phulo ki pankhudiyo se sundar -sudar design banai jati h.
- Agar kam ho to bajar me sticker rangoli ya rangoli stensil milte h unse kam samay me hi bahut sundar rangoli ban kar taiyar ho jati h.
3. Toran or bandhanwar
- Ghar ke main gate or mandir ko sajane ke liye toran bahut hi subh or achchha mana jata h.
- Aam ke patte or genda ke phul se bane toran paramparik hote h .
- Aj ke samay me banawti bandhanwar or led lights wale toran bhi milte h.
4. Phulo ki sajawat
- Phulo se apn ghar ko sajane se aspas ka mahol me prakriti ki khushbu or tajgi aati h .
- Ghar ke gate , khidki ,or puja ghar me phulo mama latkaye jate h .
- Dussegra or ashok ke patte bahut hi subh mane jate h , isse bhi ghar ko sajaya jata h.
5. Diya or mombatti se
- Dussegre par diya jalana andhere ko dur krke roshni ko failane ka pratik j]h.
- Mitti ke diye ko ghar ke har kone me jalaye .
- Sundar or khushboo wali mombati or ti light mombatti mahol ko aakarshak banati h.
Contents
6. Light se sajawat
- Dussehre par ghar ki shobha badhane ke liye roshni bahot jaruri h.
- Ghar ki chhato ,khidkiyo or diwaro par LED lights ,fairy lights lagai ja sakti h.
- Puja room or ghar ke main gate par rang -birange lamp se bhi hm ghar ko sja sktr h.
7. Puja room ki sajawat
- Dussehre par bhagwan ram , devi durga ya maa lakshmi ki puja ki jati h.
- Puja ghar ko phulo ki mala ,agarbatti , dhupdiya or artificial decoration piece se sajaye jate h.
- Mandiro me chhoti jhalar or pital ke bartan rakhne se shobha badhti h.
8.Diwaro si sajawat
- Ghar ki diwaro par framed paintings ya bhagwan ram -sita ki photo lagai ja skti h.
- Bajar me uplabdh wall hangings ,kapde ki jhalar or stickers se bhi sajawat ki ja sakti h.
9. Ghar ke andar ki sajawat
- Ghar ke andar ke sabhi pardo no change kare or darwajo me bhi sajawat kre -jaise ki toran or bandhan war bhi lga skte h , artificial toran se bhi ap sajawat kr sakte h.
- Drawing room me sundar cushion cover ,table runner or phuldan se sajaye .
- Agar jagah ho to kone me indoor plants rakhe ja skte h.
- Achchi khushboo wale room freshner se mahol ko or bhi khushnuma banaye .
10. Bachcho ke liye sajawat
- Bachcho ke room ko paper crafts , ramayan theme posters or ravan putle se sajaye .
- Isse bachche bhi tyohar ki ahmiyat ko samjhenge .
Ghar ko sajane ke liye bahut se tarike h , dussehra par ghar ko sajana n kewal sirf mahol ko acha banati h . Balki hmare man or atma ko bhi achchhai se bhar