Ram Leela 2025: Story, History & Significance of Ramlila in Dussehra

Ram Leela, Hamara desh bharat ,ek aisa desh h jha dharmik ,sanskritik or aadhyatmik paramparao se bhara hua desh h. Yha par devi -devtao ki katahye ,tyohar or parv logo ko aapas me jodte h or unme ekta banaye rakhte h . Inhi sab parvo me se ek parv h ramleela , jo bhagwan shree ram ke jivan or unke aadarsho ko utsahit roop me dikhati h. Yah bharat ke pramukh aayojno me se ek h, jisme pure ramayan or bhagwan ki katha ko abhinay ke roop me dikhaya jata h. Ramleela ka aayojan visesh roop se dussehra ke samay par hi kiya jata hor kafi dino tak chalta h.

Ramleela kyu manai Jati h – ramleela manane ka mukhya karan bhagwan shree ram ke jivan se jude hue unke aadharsh , maryadao or dharma ki sthapna ke sandesh ko bharat ke har logo tak pauhchana h.

  1. Ye hame sch , dharm , maryada , or nyay ki raksha ka sandesh deti h.
  2. Ravan par shree ram ki jeet yah batati h ki burai chahe kitni bhi badi or takatwar kyu na ho uska aakhir me nash tay h.
  3. Ramleela ke manchan ke dwara samaj ko parivar, kartavya ,aadharsh or sanskriti se joda jata h.
  4. Ye aayojan bharatiya samaj ki dharmik aastha or sanskritik ekta ka pratik mana jata h.

Ramleela kaise manai jati h-

Ramleela manane se phle hi ramleela ki sari kuch taiyariya 1 mahine phle se hi hoti h . ramleela kha pe manaya jayega , ramleela ka stage kaise rahega , kaisa sajega ,or kitna sajega  in sabhi chijo ke liye phle se taiyariya hoti h. ramleela me kon kon kalakar rahenge ye sb bhi phle se hi krna padta h.

  1. Ramleela ke manch ki taiyari – khuke maidan me  ya ek bade se pandal me ek bahot bada sa manch taiyar kiya jata h. Or is manch me ramayan me dikhne wali jagaho ke  jaise sajaya jata h ,jaise isme ayodhya ,janakpuri ,vanvas ,lanka aadi jaise dikhne ke liye alag-alag sajawat ki jati h.
  2. Kalakaro ka chayan – Ramleela me abhinay krne ke liye whi ke sthaniya logo ki hi chuna jata h . Sthaniya log hi bahgwan shree ram ,lakshman , mata sita ,ravan hamuman aadi ka abhinay krte h.
  3. Dharmik anushthan- Ramleela ka manchan shuru hone se phle puja path kiya jata h or mantra uchcharan kiya jata h.
  4. Dainik manchan –Ramleela me har roj sham ko ek -ek prasang ka abhinay hota h. jaise ram janm ,sita swamyar , vanvas ,sita haran , hanuman leela ,ram -ravan yuddh aadi.
  5. Darshako ki sahbhagita –Ramleela ko dekhne ke liye log gaon -gaon or sahar -sahar se log kafi sankhya me aate h or bahot hi khushi log ramleela ko dekhte hue aanand uthate h.
  6. Dussehre ke din – ramleela ka samapan dussehre ke din ravan meghnad or kumbhkaran ke bade putlo ko dahan krke kiya jata h,jo asatya par satya ki jeet ka pratik h.

Ramleela me hone wali pramukh chije

  • Ram janmotsav-Bhagwan shree ram ka janm or unke bachpan ki leelao ka manchan kiya jata h.
  • Sita swamyar- Bhagwan shiv ka dhanush tod kar shree ram ne mata sita se vivah kiya .
  • Vanvas – Kaikai ke vardan ke wajah se bhagwan shree ram ko 14 sal ka vanvas krna pada .
  • Surmay van drishya – Bhagwan ram ,mata sita or lakshman ke vanvas ke samay ki ghatnaye .
  • Sita haran – Ravan ne mata sita ka apharan kiya tab jatayu ki virta ka pradarshan .
  • Hanuman leela – Mata sita ki khoj me jate hue unka samudra langhna ,or lakshman ke liye sanjeevni booti lana , or purilanka ko apni punch se jla dena .
  • Ram -ravan yuddh –Bhagwan ram or ravan ke bich dharm or adharma ,achchai or burai ki ladai .
  • Putla dahan –Dussehra ke din ravan , meghnad or kumbhkaran ke putlo ko jalana .

Ramleela ka mahatva

  1. Ye hamari bhartiya sanskriti ko or parampara ko pidhi der pidhi jivit rakhti  h.
  2. Ye bachcho or bado ko dharma ,sach or aadharsho ko apne jivan me bhi lane ka marg dikhati h.
  3. Ye parv burai ka nash or achchai ki jeet ka pratik h.
  4. Ye aayojan samajik ekta or bhaichare ko majboot banaye rakhta h.
  5. Ramleela dharmik aashtha ke sath sath manoranjan or siksha ka bhi madhyam h.

Ramleela kewal ek dharmik natak nhi h , balki ye bhartiya sanskriti ka jivant roop h.Hme ramleela se dwara bhagwan shree ram ke sikhaye hue sabhi aaharsho ko palan krna chahiye or use apni me bhu shamil krna chahiye . Hme bhagwan shree ram ke ramayan katha se yeh sikh leni chahiye ki kisi bhi paristhiti me kitni bhi kathinaiyo me hme ghabrana nhi chahiye or uska ache se samna krna chahiye , or hamesha  hi hme dharm or sachchai ke raste hi chalna chahiye .

Hme ramleela se bahut hi bda or gahra sandesh milta h –

“Satya ki jeet nischit h or adharma na ant avashya hoga. “

HAPPY RAMLEELA

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Home Navratri Dussehra Wishes Shop
Scroll to Top