Navratri ka parv shakti ki ardhna ka mahaparv h,jo nau dino tak bade hi shraddha or bhakt se manaya jata h. Har din mata durga ke alag -alag swarupo ki puja ka vidhan h. Navratri ke tisre din maa durga ke chandraghanta swaroop ki puja ki jati h.Ye din sadhko ke liye bahut mamhatvapurna mana jata h kyuki isme bhakto ko sahas, nirbhayta or shakti ka aashirwad milta h.
Maa chandraghanta ka swaroop
Maa durga ka tisra roop maa chandraghanta h. Inke mathe pe aadha chand ke aakar ka sunahra ghanti sushobhit rahti h, jiske karan inhe chandra ghanta kha jata h.Ye swaroop maa ki virta or saumyata ka adbhut sangam h. Maa chandraghanta ke das hath h,jinme trisul ,gada ,talwar ,kamal ,dhanush-ban aadi astra-shastra h.We apne wahan shre par swar hokar asuro ka nash krti h. or bhakto ki raksha krti h. Unke sharir me hamesha divya prakash ki aabha nikalti rahti h.
Maa chandraghanta ki kripa se bhakt ke jivan se dar ,chinta or dushmano ka nash hota hor usme aatmavishwas or virta ka sanchar hota h.
Pauranik katha
Paurani manyata ke anusar ,jab devtao or asuro ke bich bhayak ladai hua, tab maa durga ne chandraghanta swarop dharan kiya . Is roop me unhone apne prachand gusse or divya shakti se asankhya daityo ka sanhar kiya .Ladai ke samay mathe par aadhachand ki aakriti wali ghanti se aisa adbhud nad hua ki asur dar kar bhagne lage .Yhi karan h ki maa ke is swaroop ko “chandraghanta” kha jata h.
Kha jata h ki unki aradhna se sadhak ko addrishya shaktiyo se raksha prapt hoti hor wah nirbhay hokar apne jivan path par aage badhta h.
Navratri ke tisre din ki puja -vidhi
Navratri ke tisre din bhor me nha kr suddh kapde pahanne chahiye or maa chandraghanta ki pratima ya photo ko puja wale jagah par sthapit krna chahiye .Is din ki puja vidhi kuch is prakar h-
- Sthan suddhi – Puja se pahle jagah ko gangajal ya suddh jal se pavitra kre.
- Sankalp- Hath me pani ,akshat or phul lekar vrat or puja ka sankalp le.
- Awahan – Maa chandraghanta ka dhyan kre or unhe apne ghar me padharne ke liye aamantrit kre.
- Dhyan mantra – “Pindajprawrarudha chandkopastrakeryukt 1 Prasadam tanute maham chandraghanta namostute 2
- Pujan samagri- Lal phul ,dhup ,diya ,gandh ,akshat ,sindoor ,phal ,mithai or vishesh roop se dudh se bne prasad arpit kre .
- Aarti- Maa ki aarti kre or ghante -ghadiyal ajakar mahol ko mangalmay banaye.
Maa chandraghanta ki puja krte samay ghee ka diya jalana subh mana jata h.Ghee ka diya ghar me sukh -samriddhi or sakaratmak urja ka sanchar krta h.
Tisre din ka aadhyatmik mahatva
- Is din ki sadhna se sadhak ke dil me sahas or aatmabal ka vikas hota h.
- Jivan me aane wali badhaye or dar khatm hote h.
- Sadhak ko alaukik shanti or divya urja ki prapti hoti h.
- Maa chandraghanta ki upasana se sadhak ki kudlini shakti jagrat hoti hor aadhyatmik unnati ka rasta milta h.
Tisre din ka vrat or aahar
Navratri ke tisre din upwas krne ka vishesh mahatva h.Bhakt phalahar ya kewal pani pikar maa ki aradhna krte h. Jo log aanshik upwas rakhte h ,we din me phal ,dudh ,sukhemewe ya sabudana khichdi aadi ka khate h. Is din tamsik bhojan (pyaj ,lahsun ,mans ,daru aadi ) se dur rahna chahiye.
Jyotishi mahatva
Maa chandraghanta ka sambandh grah mangal se mana jata h. or jin logo ki kundali me mangal dosh ya gussa , bechaini ,durghatna jaisi samasyaye hoti h, unke liye maa chandraghanta ki puja bahut labhkari siddh hoti h. Isse vyakti ke jivan me santulan or shanti aati h.
Vishesh manyataye
- Maa chandraghanta ki kripa se dampatya jivan me sukh -shanti bani rahti h.
- Jo log vyapar ya naukari me bar-bar asafal hote h , we is din ki puja krke safalta prapt kar skte h.
- Dushman ka dar or nakaratmak shaktiya maa ki aradhna se dur ho jati h.
Navratri ka tisra din maa chandraghanta ki upasna ka din h. Ye din sahas ,nirbhayta or aatmbal pradan krne wala hota h.Maa chandraghanta ka swaroop hme ye sikhata h ki jivan me kitni bhi kathin paristhitiya kyu na aaye ,agar ham himmat or aatmavishwas banaye rakhe to har chunauti par jeet skte h. Shradda or viswas ke sath agar bhakt is din maa chandraghanta ki puja kre ,to nischit hi unhe jivan me darmukti ,shanti or safalta prapt hoti h.