Navratri bharat ka aatyant pawan or subh parv h. Ye parv maa durga ke nau swarupo ki aradhna ke liye samarpit h. Navratri ka har ek din devi maa ke alag -alag roop ki puja ko samarpit hota h. Pahle din ghatsthapna or maa shailputri ki puja ke bad dusre din maa brahmcharini ki puja ki jati h. Is din sadhna ,tapasya or dhairya ka prati mana jata h. To aaiye detail me jante h ki navratri ke dusre din (dwitiya ) par kya -kya hota h.
1. Dwitiya ka mahatva
Navratri ke dusre din maa durga ke brahmcharini swaroop ki puja hoti h.
- “Brahma” ka matlab h tap or ” charini” ka arth h aachran krne wali .Matlab brahmcharini wah devi h jinhone tapasya or dhaiya ko apne jivan me dharan kiya .
- Is din bhakt apni sadhna or bhakti ko or jyada dridh banane ka sankalp lete h.
- aisa vishwas hki is din puja krne se insan ko aatmabal ,dhairya or mushkil parasthitiyo ka samna krne ki shakti milti h.
2. Maa brahmcharini ka swaroop
Maa brahmcharini ka roop bahut tejaswi or shant mana jata h.
- We hath me japmala or kanmandal pahanti h.
- Unke charno me kamal phul rahta hor we deviya chamak ke sath dikhai deti h.
- Unka swaroop tap or yog ka pratik h.
- Manyata h ki unhone bhagwan shiv ko pati roop me prapt krne ke liye hajaro sal tak mushkil tapasya ki thi .
- Puja kitaiyari or saman
Dusre din puja se pahle bhakt log ghar or mandir ko saf – suthra rakhte h.Puja ke liye in samano ka upyog hota h:
- Kalash or gangajal
- Taje phul (visheshkar white or pile phul)
- Akshat (chawal )
- Roli ,chandan,haldi
- Japmala or diya
- Mishri ,chini or dush se bani mithaiya
- Phal or pan
- Puja vidhi (step by step)
- Sabse pahle nha kr suddh kapde pahne jate h.
- Puja wale jagah par kalash or maa durga ki pratima ya photo sthapit kiya jata h.
- Maa brahmcharini ka dhyan krte hue diya jalaya jata h.
- Unhe phul ,chandan ,akshat or sindur arpit kkiya jata h.
- Mishri or chini ka bhog lagaya jatta h ,kyuki ise maa brahmcharini ko bahut priya mana gya h.
- “Om devi brahmcharinyai namah : mantra ka jap kiya jata h.
- Aakhir me aarti or prathna ki jati h.
5 .Upwas or vrat ka mahtva
Navratri ka dusra dinn upwas krne walo ke liye vishesh hota h.
- Bahut se log is din phalahar krte h.
- Upwas rakhne se man ekagra hota hor bhakti apne andar sanyam or dhairya ka anubhav krti h.
- Manyat h ki is di kiya gya upwas insan ke jindagi se sabhi nakaratmak urjao ko dur krta h.
6. Maa brahmcharini ki kripa se milne wale phal
Bhakto ka vishwas h ki maa brahmcharini ki puja se:
- Sadhako ko gyan ,vairagya or aatmasnyam ki prapti hoti h.
- Manushya ke andar dhairya or aatmabal ka sanchar hota h.
- Jo log shadi or parivarik sukh ki ikchksha rakhte h, unhe bhi vishesh labh milta h.
- Jivan ki kathinaiya or badhaye katm hoti h.
7. Sanskritik or samajik mahatva
Navratri ka dusra din sirf puja-archana tak simit nahi h.
- Is din se mandiro or pandalo me sanskritik aayojan or bhi sakriya ho jate h.
- Jagah -jagah bhajan sandhyaye or garba -dandiya program shuru hote h.
- Log devi maa ke bhajan gate hue unke swaroop ki jhakiya sajate h.
- Vishesh roop sse gujrat or maharastra me dandiya or garba ke aayojan dusre din se or jyada hi rangeen ho jati h.
8. Aadhyatmik sandesh
Navratri ka dusra din hme ye sikhata h ki jivan me dhairya or sadhna ka mahatva bahut jyada h.
- Maa brahmcharini ki upasna se ye sandesh milta h ki mushkil tapasya or sanyam se hi mahan lakshyo ki prapti sambhav h.
- Jivan ki har kathinai dhairya or vishwas se par ki ja skti h.
- Ye din hme aatmasanyam ,sadhna or sadgi ka path padhata h.
Navratri ka dusra din maa brahmcharini ko samarpit h. Is din bhaktjan unki puja -archana krke dhairya ,aatmabal or sadhna ki shakti prapt krte h. Phalahar or vrat ke madhyam se we apne man or sharir ko suddh krte h.Is din ki gai upasana se jivan ki kathinaaiya dur hoti h or insan ke andar sakaratmak urja ka sanchar hota h. Isliye navratri ka dusra din aadhyatmik unnati or sanyam ka marg dikhane wala mahatvaprna din mana jata h.