Navratri Vrat Ki Vidhi 2025 | Puja Vidhan, Rules & Benefits

🌼 Navratri Vrat Vidhi


🔹 1. Vrat ki taiyari  (pahla sankalp)

kab kre : vrat ke pahle din  (pratipada ) se ek din pahle (amawasya \purnima )

  • Ghar ki saf -safai kre ,or puja sthan suddh kare .

  • Satvik khna khaye , tamsik khana  (pyaj ,lasun, mansahar  or sharab aadi )  se dur rahe .

  • Man me ye sankalp le ki ap navratri ke nau din vrat ,niyam ,bhakti se karenge .


🔹 2. Kalash sthapna  / Ghatsthapna  (Pratipada -pahla din)

Samam:

  • Mitti ka bartan

  • Jau ya gehu (bone ke liye )

  • Pani se bhara hua kalash (Tambe ya mitti ka )

  • Aam ke patte ,nariyal ,lal kapda ,mauli ,supari chawal .

  • Devi ki murti ya photo.

VIDHI :

  1.  Subh muhurat me purv ya uttar disha ki or muh krke puja kre .

  2. Mitti me jau boye (jise naudurga ke pratik ke roop me ugaya jata h).

  3. Iske bich me kalash rakhe jisme saf pani bhare ,usme supari ,chawal ,durwa ,sikka dale .

  4. Kalash ke mukh par aam ke patte rakhe or us par  nariyal rakhe ,jise lal kapde me lapeta gya ho .

  5. Kalash ke pass devi durga ki murti \photo sthapit kare .

  6. Diya jalaye or sankalp le -mai (apna nam \grihasth ) devi ki kripa ke liye navratri ka vrat kar rahi hu.


🔹 3. DEVI PUJAN (HAR ROJ )

PRAMUKH SAMAN :

  • Pani ka lota ,akshat ,,phul ,durwa ,roli ,kumkum ,haldi ,naivaidh (phal ,mishthan ) ,diya dhup .

NITYA PUJAN VIDHI :

  1. Hath me akshat or pani lekar vrat ka sankalp le.

  2. Devi ko nahlaye (agar murti ho to ),kapde or gahne arpan kare .

  3. Phul ,akshat ,kumkum,haldi ,chandan ,dhup ,diya or naivedh arpan kare.

  4. Durga saptsati ka path kare (kam se kam kavach ,argla ,kilak or 13 adhyay ,ya samput path .

  5. Maa durga ki aarti kare (ap chahe to har din ki alag- alag devi ki aarti kare ).

  6. Prasad bate .


🔹 4. UPWAS KAISE KARE ?

VRAT KE PRAKAR :

  1. Niejala upwas – pani bhi nhi lete (kathin vrat )

  2. Phalahar vrat -Sirf phal ,dudh or vrat ka khana .

  3. Ek samay khana -Ek bar vrat yogya khana (satvik ,bina anaj ).

  4. Niyamit bhojan par sanyam – Koi vrat na rakhkar sir satvik bhojan.

KYA KHA SKTE H  (PHALAHAR ME ):

  • Aalu ,shakarkand ,sabudana ,singhada ,kuttu ka aata ,rajgira ,moongphali ,dahi ,dudh ,phal .

  • Sendha namak ka prayog kare .


🔹 5. KANYA PUJAN (ASHTAMI YA NAVMI KO )

VIDHI :

  1. 2 Se 10 sal ki umra ki kanyao ko ghar bulaye (9kanyaye or 1 ladka “bhairav swaroop ).

  2. Unke pair dhoye ,tika lagaye ,chudiya de ,khana khilaye .

  3. Dakshina or uphar dekar vida kre .


🔹 6.HAWAN OR PUJA SMAPAN   (NAVMI \DASHMI KO )

VIDHI :

  1. Durga saptasati ka pra path kare (agar kar skte hto )

  2. Devi ka pujan kar pushpanjali de .

  3. Hawan kare -“swaha ke sath gay ke ghee ,nariyal .gud ,guga ,hawan ke saman ko dale.

  4. Hawan ke bad kalash visarjan kare -kalash ke pani ko tulsi ke paushe me dal de.

  5. Devi ka visarjan kare (murti hoto nadi me pavitra jagah par ,photo hoto surakshit jagah par rakhe .)


🕯️ VISHESH NIYAM(Navratri Vrat Rules):

  1. Roj subah or sham nha kar suddh kapde pahne .

  2. Brahmcharya ka palan kare .

  3. Jhuth ,gussa ,burai tamsik khana se dur rahe .

  4. Maa durga ke bij mantra “om e hi kli chamundaye vichche “ka jap kare .

  5. Sham ko diya jalakar aarti jarur kare .







🙏 Navratri ka mahatva :

  • Jivan ki nakaratmakta ko hatane ,shakti ,shakti prapti ,shanti ,unnati or kashto se mukti ke liye navratri ka vrat atyant subhkari mana gya h.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Home Navratri Dussehra Wishes Shop
Scroll to Top