Dussehra Cultural Programs 2025 | Ram Leela, Dance & Events

Cultural Programs, Hamara desh bharat ek sanskritik or dharmik paramparao se samriddh desh h. Yha anek tarah ke tyohar manaye jate h , jisme dussehra ek pramukh tyohar h ,or vishesh mahatva rakhta h. Ye parv burai par acchhai ki jeet ka pratik mana  jata h . Dussehra kewal dharmik dristi se hi nhi ,balki sanskritik drishti se bhi bahut mahatvapurna mana  jata h. Is din  desh ke alag -alag jagah me alag- alag tariko se manaye jate h . Or sanskritik karyakram ka bhi aayojan kiya jata h , Jo samaj ko ekjut rakhta h . Or hamari paaramparao ko jivit rakhte h .

Ramleela ka manchan

Dussehra ke sanskritik karyakramo me badse jyada pramukh jagah ramleela ko prapt h . Ramleela ramayan ke ghatnao par aadharit natak prastuti h.  Isme kalakar  bhagwan shreeram ,matasita  ,lakshman ,hanuman  ravan jaise patro la abhinay kte ,. Ye aayojan kai dino  tak chalta rahta h . Aakhari dim ravan eghnad orlumbhkaran ke putle jalakar burai par achchhai ki jeetka sandesh dete h. Ramleela n kewal dharmik shraddha kojivit krti h ,balki bachcho me or bado me apne itihas or sanskriti se jodne ka kam bhi karti h.

Jhakiya or shobha yatra

Dussehra parv parv par alag – alag tarah ke dharmik or sanskritik jhakiyo ka aayojan kiya jata h.In jhakiyo me bhagwan ram ki jivan yatra , durga maa ki mahisasur par jeet or pandawo i kathao ko chitrit kiya jata h. Bade -bade ratho par sajai gyi jhakiya pu sahar bhar me ghumai jati h. Log in shobha yatrao me badh-chadhkar bhag lete h. Dru ,dhol or shankh ki aawajo se mahol gunj uthta h. Or pura shahar bhakti or khushi se bhar jata h.

Put dahan

Dussehra ke sanskritik karyakramo me ravan dahan ka viseesh mahatva h . Alag -lag shaharo or gawo me bade – bade maidano me ravan ,meghnad or kubhkaran ke pule banaye jate h . Or in putlo ke andar aatishbaji ,or patakhe bhare jate h . Jab bhagwan ram in putlo ko jalate h to pura mahol “jay shree ram ke “naro gunj uthta h . Ye karyakrm logo ko ye sandesh deta h ki burai chahe kitni bhui badi kyu na ho ,aakhir me uska nash hojata or sach ki jeet hoti h .

Loknritya or nritya

Dussehra ke samay alag -alag sanskritik sansthao or school -college me lokgeet or dance ki competition ka aayojan kiya jata h . Dance or tak ke madhyam se samaaj me naitik shiksha di jati h. Kahi -ahi durga maa ke bhajan , garba , dandiya or lokgeet bhi prastut kiye jate h . Gaon ke ilako me log dholak ,manjiro or nagado kidhunpar parampar dance prastu kiye jaye h .

Sahityik or shakshanik karyakram

Kai schoolo or college me dussehra par nibandh , kavita p chitrakala competition ka intejam kiya jata h. In karyakramo ka moive bachcho ko bhartya sanskrit or paramparao se  jodna h . Sth i ye ajkal ke yuwao me creativity or confidence ko badhawa diya jata h .

Mela or vyaparik gatividhiya

Dussehra parv ke samay kafi bad star par mela ka aayojan kiya jata h. In melo me jhule , khane -pine ki dukane ,khilaune or hath se banai hui chijo se sajajati h . Log apne paivar ke sath in melo ka aanand lete h. Ye karyakram kewal manoranjan ka sadhan nhi h ,bakli sthaniya vaypar or karigaro ko rojgar ka bhi awsar milta h .

Samaaj me ekta or bhaichara

Dussehre ka sanskritik karyakram samaaj me ekta or bhaichare ka ka bhi sandesh dete h . log dharma ,jati or bhasha  se upar uthkar is parv ko samuhik roop se manate h.Gaon or shahro me chhote -bade sab milkar pandal sajate h , manch banate h or aayojan me madad krte h . isse samaj me samuhikta or madad ki bhawna majboot hoti h.

Is prakar dussehre ka parv kewal dharmik drishti se nahi ,balki sanskritik drishti se bhi bahut mahatvapurna h. Ramleela ,jhakiya , putla dahan ,lokgeet ,dance or melo ke madhyam se ye parvhme hmari purani paramparao se jodta h . Dussegra hme ye siksha deta h ki burai chahe kitni bhi badi kyu na ho , jeet hamesh asach ki  hoti h .Sanskritik karyakram is parv ko or bhi prernadayak banati h .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Home Navratri Dussehra Wishes Shop
Scroll to Top